Dekh Rahi Hai Zahra Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Dekh Rahi Hai Zahra Lyrics In Urdu and Roman Urdu

دیکھ رہی ہے زہراؑ

Roti Aankhon Se Yeh Sab Dekh Rahi Hai Zahra.
Kalma Go Baithay Hain Khamosh Khari Hai Zahra.
Mujh Pe Kiya Guzri Qayamat Ki Ghari Bhi Dekhein.
Mere Baloon Mein Marey Baba Safaidi Dekhein.
Jhuk Gayi Meri Kamar Our Zaeefi Dekhein.
Kaisay Pehchano Gay Baba Keh Yehi Hai Zahra.
Aik Hi Peshi Ne Yeh Haal Kiya Hai Mera.
Kaisay Guzrey Ga Aseeri Mein Safar Zainab Ka.
Cheen Li Jaye Gi Jab Sham-e-Ghareebaan Mein Rida.
Thamay Chadar Ko Yehi Soch Rahi Hai Zahra.
Dar Jala Ho Gaya Pehlu Bhi Shikasta Bibi.
Aap Ko Mara Hai Qunfuz Ne Tamacha Bibi.
Ban Gaya Aap Ka Maqtal Yeh Madina Bibi.
Aap Par Tooti Qayamat Ki Ghari Hai Zahra.
Koi Mastoor Na Mushkil Mein Khudaya Aaye.
Fatima Dil Ke Sabhi Dard Kisay Batlaye.
Maa Kabhi Betay Ke Hotey Na Tamacha Khaye.
Gham Tere Seene Mein Naizay Ki Anni Hai Zahra.
Hai Giraftar Ali Chalti Hai Zahra Pichey.
Hath Pehlu Pe Rakhay Our Larkharatay Hoye.
Bain Kartay Hoye Girti Hai Rida Ko Thamay.
Har Qadam Sath Youn Haider Ke Chali Hai Zahra.
Yeh Tamachay Ki Wirasat Tu Sakina Le Gi.
Keel Ban Jaye Gi Akbar Ke Jigar Mein Barchi.
Khum Yeh Sajjad Ko Zainab Ko Miley Gi Peshi.
Apni Aoulad Mein Gham Bant Chuki Hai Zahra.
Iss Tarha Bibi Tera Sajdah Ada Hota Hai.
Zakhm Ka Khon Musallay Pe Baha Jata Hai.
Hath Har Waqt Hi Pehlu Pe Rakha Rehta Hai.
Kaisi Tasveer Musayab Ki Bani Hai Zahra.
Sabar :QASIM: Youn Sar-e-Gaib Kiya Hai Oss Ne.
Taig Par Soch Ke Hathoon Ko Rakha Hai Oss Ne.
Kyun Nahi Badlah Abhi Tera Liya Hai Oss Ne.
Tere Mehdi Ko Aziyat Yeh Bari Hai Zahra.
Poet: :Qasim Ali Qasim:
Noha Khuwaan: :Joan Rizvi:
Noha Volume: :Joan Rizvi 2020-21:
Composition: :Raza Shah:
#DekhRahiHaiZahra
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!