Aa Gaye Ghar Ali Ka Jalanay Lyrics Urdu 2019

Aa Gaye Ghar Ali Ka Jalanay Lyrics Urdu 2019

Aa Gaye Ghar Ali Ka Jalanay Lyrics Urdu

Lehad Mein Mustafa Ko Satanay Aa Gaye Ghar Ali Ka Jalanay.
Loag Ajar-e-Risalat Nibhanay Aa Gaye Ghar Ali Ka Jalanay.

Zulm Kaisa Yeh Ummat Ne Dhaya.
Qabar Tak Fatima Ko Rulaya.
Ibtida Karbala Ki Karanay Aa Gaye Ghar Ali Ka Jalanay.

Dast-e-Haider Mein Bandhay Rasan Hain.
Bach Gaye Qaidi Khaybar Shikan Hain.
Galiyon Mein Murtaza Ko Phiranay Aa Gaye Ghar Ali Ka Jalanay.

Kartay Tazeem Jis Ki Nabi They.
BiBi Darbar Mein Woh Gayi Hai.
Mustafa Ke Jigar Ko Dukhanay Aa Gaye Ghar Ali Ka Jalanay.

Ajar Ummat Se Kaisa Mila Hai.
Qatal Mohsin Ka Bhi Ho Gaya Hai.
Ranj-o-Gham Fatima Ka Barhanay Aa Gaye Ghar Ali Ka Jalanay.

Bint-e-Sarwar Woh Zoja-e-Haider.
Hoi Rukhsat Zamane Se Ro Kar.
Zakhm Baba Ko Apne Dikhanay Aa Gaye Ghar Ali Ka Jalanay.

Haal :FARMAN: Kaisay Biyaan Ho.
Tere Lafzoon Se Jo Keh Ayyaan Ho.
Badla Ohad-o-Badar Ka Chukanay Aa Gaye Ghar Ali Ka Jalanay.

Poet: :Farman Zaki:

#AaGayeGhar
#NohayLyrics
#tajpoint

Aa Gaye Ghar Ali Ka Jalanay Lyrics Urdu 2019 Write Up Poster Image

Aa Gaye Ghar Ali Ka Jalanay Lyrics Urdu 2019

Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :

Leave a Comment

error: Content is protected !!