Woh Hath Kat Gaye Lyrics In Urdu Shahid Baltistani 2018
Woh Hath Kat Gaye Lyrics In Urdu Shahid Baltistani
Ghurbat Mein They Jo Shah Ki Behno Ka Aasra.
Pehra Sada Jo Detey They Zahra Ki Aal Ka.
Khushiyaan Manao Sham Ke Lashkar Mein Shoor Tha.
Ab Hum Ko Koi Rokney Wala Nahi Bacha.
Lo Ho Gaya Hussain Ki Ghurbat Ka Faisla.
Hanstay They Shami Dekh Ke Aanso Hussain Ke.
Haye Shikasta Ho Gaye Bazu Hussain Ke.
Tooti Kamar Jo Shah Ki Lashkar Samajh Gaya.
Maidan Mein Hussain Ko Jin Ki Talash Hai.
Haye Do Hath Hain Ya Sheh Ke Bharay Ghar Ki Lash Hai.
Iss Ghar Ke Parday Daro Ne Samjha Jinhein Rida.
Rukh Kar Ke Yeh Madine Ka Abbas Ne Kaha.
Haye Amma Moaf Karna Main Majboor Ho Gaya.
Ab Tak Rahe Imam Ke Qadmo Pe Jo Sada.
Akbar Tarap Rahe Hain Mera Dil Hai Be Qarrar.
Haye Ro Ro Ke Shah Kehte They Zainab Se Bar Bar.
Lasha Utha Ke Latay Jo Kariyal Jawan Ka.
Hai Teer Aankh Mein Meri Rasta Bataiye.
Haye Ghazi Pukara Mashk-e-Sakina Bachaiye.
Baba Najaf Se Aaiye Imdad Ko Zara.
Hasrat Se Dekhti Hai Sakina Soye Furat.
Haye Do Hath Bhi Taraptay Hain Lashay Ke Sath Sath.
Jo Hath Rook Saktay They Shimar-e-Laeen Ka.
Qasad Ki Baat Par Tu :TAKALLUM: Yaqeen Na Tha.
Haye Dekhey Jo Neel Hathoon Pe Zainab Ke Ja Baja.
Aakhir Yaqeen Madar-e-Ghazi Ko Aa Gaya.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Composition: :Shahid Baltistani:
Noha Khuwaan: :Shahid Baltistani:
Noha Volume: :Shahid Baltistani 2018-19:
#NohayLyrics
#tajpoint