Qabar-e-Zahra Bana Rahe Hain Ali Lyrics In Urdu 2019
Qabar-e-Zahra Bana Rahe Hain Ali Lyrics In Urdu
Apni Ghurbat Chupa Rahe Hain Ali.
Kyun Kamar Jhuk Gayi Hai Maula Ki.
Kis Ki Maiyyat Utha Rahe Hain Ali.
Waqt-e-Talqeen Zakhmi Shano Ko.
Dheray Dheray Hila Rahe Hain Ali.
Samna Ho Gaya Hai Qunfuz Se.
Sabar Ko Aazma Rahe Hain Ali.
Apni Gardan Pe Neel Rasi Ka.
Betiyon Se Chupa Rahe Hain Ali.
Raat Ho Gi Tu Dein Gaye Ghusal-o-Kafan.
Aasmaan Dekhey Ja Rahe Hain Ali.
Detey Jate Hain Ghusal Bi Bibi Ko.
Hichkiyaan Letey Ja Rahe Hain Ali.
Kaisa Gham Hai Jo Aaj Chalte Hoye.
Barha Larkhara Rahe Hain Ali.
Kaisi Naimat Se Ho Gaye Mehroom.
Hath Kyun Maltay Ja Rahe Hain Ali.
Aik Zahra Ik Apni Ghurbat Ka.
Do Janazay Utha Rahe Hain Ali.
Aye :TAKALLUM: Batool Ke Gham Mein.
Ab Bhi Aanso Baha Rahe Hain Ali.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwaan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2019-20:
#AyyameFatima
#NohayLyrics
#tajpoint