Darbar Mein Jana Zahra Nahi Bholay Gi Lyrics In Urdu 2020
Darbar Mein Jana Zahra Nahi Bholay Gi.
Ummat Ka Satana Zahra Nahi Bholay Gi.
Dekho Tu Zara Baba Ummat Ki Yeh Be Rehmi.
Mohsin Bhi Gaya Mara Pehlu Bhi Howa Zakhmi.
Dar Mujh Pe Girana Zahra Nahi Bholay Gi.
Ahsas -o- Murawat Bhi Baqi Nahi Ummat Mein.
Roney Na Diya Mujh Ko Baba Teri Furqat Mein.
Yeh Badlah Zamana Zahra Nahi Bholay Gi.
Mein Le Ke Gayi Teri Tehreer Sand Baba.
Dekho Woh Sand Meri Kar Di Gayi Rad Baba.
Yeh Gham Ka Fasana Zahra Nahi Bholay Gi.
Ki Chak Sand Meri Our Hansne Laga Zalim.
Betha Raha Mimber Par Our Kehta Raha Hakim.
Iss Peshi Pe Aana Zahra Nahi Bholay Gi.
De Detey Fidak Tum Ko Yeh Rasam Kahin Hoti.
Aurat Kabhi Wirsay Ki Waris Hi Nahi Hoti.
Zalim Ka Woh Tana Zahra Nahi Bholay Gi.
Woh Ahl-e- Saqeefa Ka Na Pak Zameeron Ka.
Hathoon Mein Liye Sholay Ummat Ke Ameeron Ka.
Ghar Aa Ke Jalana Zahra Nahi Bholay Gi.
Baba Tere Hathoon Ki Tehreer Ke Woh Tukray.
Jab Urr Ke Fizaon Mein Qadmo Pe Girey Mere.
Chun Chun Ke Uthana Zahra Nahi Bholay Gi.
:YASIR: Kaha Zahra Ne Be Ghar Bhi Kiya Mujh Ko.
Baba Teri Furqat Mein Roney Na Diya Mujh Ko.
Yeh Marsiya Khana Zahra Nahi Bholay Gi.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Noha Khuwan: :Mir Ji:
Composition: :Yasir Raza Yasir:
#AyyameFatima
#NohayLyrics
#tajpoint