Na Bholay Na Bholay Shabbir Nahi Bholay Nadeem Sarwar Lyrics 1998
Na Bholay Na Bholay Shabbir Nahi Bholay Nadeem Sarwar.
Har Majlis-e-Shabeer Mein Aati Hai Maa Shabeer Ki.
Kehti Hai Kya Aye Momino Tum Se Yeh Maa Roti Hoi.
Zakhmi Hai Mera Ladla, Zakhmi Hai Mera Ladla.
Marham Mujhe De Do Koi Marham Tu Hai Ashk-e-Azza.
Romal Mein Le Jaon Gi.
Inn Aansoon Ne Bhar Diye Sab Zakhm Tu Dilgeer Ke.
Do Ghao Aisay Hain Magar Bhartay Nahi Shabeer Ke.
Na Bholay Na Bholay Shabeer Nahi Bholay.
Ik Chadar Zainab Ki Ik Seena Akbar Ka.
Matam Karo Matam Karo Ghar Lut Gaya Shabeer Ka.
Maa Aa Gayi Shabeer Ki Matam Karo Shabeer Ka.
Khanjar Talay Naizay Pe Bhi Kartay Rahe Shukar-e-Khuda.
Teeron Pe Tha Lasha Tera Roti Rahi Karb-o-Bala.
Khaimay Ka Jab Pardah Utha Boli Behan Bhaiyya Mera.
Lasha Tarap Kar Reh Gaya Kartay Rahe Shukar-e-Khuda.
Sughra Udhar Roti Rahi Maula Idhar Rotay Rahe.
Waan Muntazir Beemar Thi Yaan Qatal Sab Hotey Rahe.
Sehra Mein Ghar Lutta Raha Kartay Rahe Shukar-e-Khuda.
Lipati Som-e-Aspaat Thi Woh Ladli Beti Teri.
Maloom Tha Maula Tujhey Ab Na Miley Gi Yeh Kabhi.
Phir Bhi Soye Maqtal Gaye Kartay Rahe Shukar-e-Khuda.
Mara Gaya Ghazi Tera Phir Bhi Kaha Shukar-e-Khuda.
Qasim Gaya Asghar Gaya Phir Bhi Kaha Shukar-e-Khuda.
Har Lash Par Aate Rahe Kartay Rahe Shukar-e-Khuda.
Darbar Mein Bazar Mein Zindan Mein Har Aan Mein.
Kaisay Sitam Sehti Rahi Beti Teri Behna Teri.
Dekha Kiye Naizay Se Sab Kartay Rahe Shukar-e-Khuda.
Naizay Pe Bhi Sar Hai Tera Phir Bhi Teri Kya Shan Hai.
Yeh Sar Hai Aye Maula Tera Ya Bolta Quran Hai.
Tan Se Juda Sar Ho Gaya Kartay Rahe Shukar-e-Khuda.
:REHAN: Our :SARWAR: Karo Majlis Bapa Shabeer Ki.
Akbar Ka Gham Zainab Ka Gham Mairaj Hai Tehreer Ki.
Maula Azza Ke Farsh Par Kartay Rahe Shukar-e-Khuda.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1997-98:
#ShabbirNahiBholay
#NohayLyrics
#tajpoint