Ya Fatima Zahra Lyrics In Urdu and Roman Urdu
یا فاطمہ زہراؑ
Dhaye Hain Sitam Aap Pe Ummat Ne Yeh Kya Kya Ya Fatima Zahra.
Iss Gham Pe Ali Aaj Talak Kartay Hain Giriya Ya Fatima Zahra.
Kartay Hain Muhammad Ke Gharanay Ko Pareshaan Kya Yeh Hain Musalmaan.
Parhne Nahi Detey Tumhein Baba Ka Jo Noha Ya Fatima Zahra.
Hairat Hai Zamane Mein Qayamat Nahi Aayi Muztar Hai Khudai.
Darbar Se Lauti Ho Jo Tum Ban Ke Zaeefa Ya Fatima Zahra.
Kis Tarha Se Chalti Rahi Sansoon Ki Rawani Hai Gham Ki Kahani.
Rotay They Ali Dekh Ke Pehlu-e-Shikasta Ya Fatima Zahra.
Ab Kaun Sanbhalay Ga Bhala Aap Ke Ghar Ko Anwar-e-Nazar Ko.
Jati Ho Kahan Chor Ke Hasnain Ko Tanha Ya Fatima Zahra.
Thamtay Hi Nahi Zulm-o-Sitam Aap Pe BiBi Kaisi Hai Ghareebi.
Na Roshni Mojood Hai Turbat Pe Na Saya Ya Fatima Zahra.
:HAIDER: Yeh Haqeeqat Hai Keh Jab Aaein Gaye Maula Bulwaein Gaye Maula.
Haan :OWN: Baqiya Mein Tum Parhna Yehi Noha Ya Fatima Zahra.
Poet: :Ali Haider Hussain Abadi:
Noha Khuwaan: :Syed Aliown Raza:
#AyyameFatima
#NohayLyrics
#tajpoint