Iss Qadar Mujh Ko Hai Ummat Ne Sataya Baba Lyrics In Urdu 2020
Iss Qadar Mujh Ko Hai Ummat Ne Sataya Baba.
Teri Zahra Nahi Reh Paye Gi Zindah Baba.
Kar Ke Tauheen Meri Hanstay Hain Zalim Sare.
Taziyane Tu Kissi Ne Hain Tamachay Marey.
Jis Ne Jis Tarha Rolana Tha Rulaya Baba.
Marey Roney Se Pareshaan Hain Madine Walay.
Haye Ghurbat Ka Tera Soag Mananay Ke Liye.
Shehar Se Door Azakhana Banaya Baba.
Iss Ne Jeena Hai Imamat Ki Hifazat Ke Liye.
Kaisay Abid Ko Bachana Hai Meri Zainab Ne.
Mein Ne Sholon Se Guzar Kar Hai Bataya Baba.
Kaun Si Hai Jo Musibat Nahi Jhaili Ho Gi.
Aap Ki Qabar Ki Mati Abhi Geeli Ho Gi.
Our Zahra Pe Zaeefi Ka Hai Saya Baba.
Aisay Masjid Se Palat Kar Teri Beti Aayi.
Teen Ghanton Mein Hi Baloon Mein Safaidi Aayi.
Aik Peshi Ne Kiya Mujh Ko Zaeefa Baba.
Meri Halat Pe Musibat Pe Sabhi Rotay Hain.
Kahin Bachay Kahin Chup Chup Ke Ali Rotay Hain.
Noha Gar Meri Ghareebi Pe Hai Fizza Baba.
Kal Tha Inkar Kiya Jis Ne Qalam Deney Se.
Aaj Oss Ne Kiye Tehreer Ke Tukray Tukray.
Hath Oss Ne Teri Zahra Pe Uthaya Baba.
Qatal Asghar Kabhi Abid Ki Aseeri Dekhi.
Jis Ghari Khak Pe Bikhari Hoi Tehreer Chuni.
Mujh Ko Bikhra Howa Qasim Nazar Aaya Baba.
Mere Pehlu Se Woh Maa Keh Ke Bulata Tha Mujhe.
Guftgu Karta Tha Aayat Woh Sunata Tha Mujhe.
Be Khata Khoon Marey Mohsin Ka Bahaya Baba.
Poet: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Syed Abbas Haider Zaidi:
Composition: :Muhsin Jaffri:
#AyyamEFatimiya
#NohayLyrics
#tajpoint