Maula Maula Haider Haider Boltay Rahiye Lyrics In Urdu 2020

Maula Maula Haider Haider Boltay Rahiye Lyrics In Urdu 2020

Maula Maula Haider Haider Boltay Rahiye.

Ghar Ke Andar Ghar Ke Bahir Boltay Rahiye.

Yeh Basti Hai Dil Walon Ki Bastay Bastay Basti Hai.
Maula Haider Boltay Woh Hain Jin Ke Dil Mein Masti Hai.
Dam Dama Dam Mast Qalandar Boltay Rahiye.

Rah-e- Wafa Mein Sar Jate Hain Ishq-e- Ali Dushwar Bhi Hai.
Oss Rastay Par Soch Ke Chaliye Yeh Rasta Purkhar Bhi Hai.
Misal-e- Meesum Daar -o- Rasan Par Boltay Rahiye.

Ishq-e- Ali Ke Dewanay Hain Hum Se Ulajhna Theek Nahi.
Dushman Hai Jo Maula Ali Ka Hum Se Woh Nazdeek Nahi.
Koi Galay Par Rakh De Khanjar Boltay Rahiye.

Narah-e- Haider Aisa Tu Ho Kufar Pe Larzah Tari Ho.
Lakhon Ke Lashkar Ke Muqabil Aik Hi Narah Bhari Ho.
Bar-e- Degar Sath Mein Mil Kar Boltay Rahiye.

Zikar-e- Ali Ko Sun Ke Munafiq Jal Jal Ke Mar Jata Hai.
Haidery Narah Jab Sunta Hai Haibat Se Dar Jata Hai.
Bool Rahe They Jaisay Qanbar Boltay Rahiye.

But Kabay Mein Kanp Rahe Hain Haider Aane Wala Hai.
Ghar Mein Khuda Dekh Ujala Har So Chanay Wala Hai.
Har Dam Har Pal Fatah-e- Khaybar Boltay Rahiye.

Aao :MUHIB: Our :MEHDI: Hum Tum Ilm Ke Dar Par Chalte Hain.
Khush Hain Ali Ke Chahney Walay Jalnay Walay Jaltay Hain.
Maula Ali Ka Pehla Number Boltay Rahiye.

Poet: :Muhib Fazli:
Manqabat Khuwan: :Syed Ali Mehdi:
Manqabat Volume: :Syed Ali Mehdi 2020-21:
Composition: :Waheed-Ul-Hassan Kamalvi:

#MaulaMaulaHaider
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Maula Maula Haider Haider Boltay Rahiye Lyrics In Urdu 2020 Write Up Poster Image

Maula Maula Haider Haider Boltay Rahiye Lyrics In Urdu 2020

Video Link

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!