Ali Ali Haider – Wajhi Hasan Zaidi – Askari Hasan Zaidi Lyrics In Urdu
علیؑ علیؑ علیؑ حیدرؑ
Jahan Mein Noor Ka Sab Jis Ko Baab Kehte Hain.
Woh Jis Ke Noor Ko Sab La Jawab Kehte Hain.
Diya Jo Jalta Hai Raton Ko Qabar-e-Haider Par.
Bawaqt-e-Subha Ossay Aaftab Kehte Hain.
Teri Sana Kartay Hain ALLAH-o-Payamber.
Ali Ali Ali Haider.
Nam-e-Maula Se Kahan Tak Bhala Katraye Ga.
Yaad Rakh Munkir-e-Haider Jo Tu Mar Jaye Ga.
Hoga Yehi Shoor Teri Qabar Ke Andar.
Jab Keh Siffeen Ke Maidan Mein Ghazi Aaya.
Sham Ki Foaj Pe Chaya Tha Qaza Ka Saya.
Dekh Ke Abbas Ko Kehta Tha Yeh Lashkar.
Jang-e-Khaybar Mein Paray Jan Ke Sab Ko Lalay.
Roz Hi Bhag Ke Aa Jatay They Jane Walay.
Nad-e-Ali Parh Ke Yeh Kehne Lagay Sarwar.
Saj Gaya Khum Mein Jo Palano Ka Mimber Yaro.
Our Ayelan-e-Wila Kar Chukay Sarwar Yaro.
Sare Sahaba Ne Kaha Narah Laga Kar.
Sheikh Jee Dil Mein Dararein Hain Pari Aisay Teri.
Zakhm Bhar Saktay Nahi Tarpay Ga Har Dam Younhi.
Terah Rajab Aate Hi Chal Jate Hain Khanjar.
Hai Yeh Khuwaish Yehi Arman Mera :ZILL-E-RAZA:.
Jab Talak Gaib Se Aata Nahi Maula Mera.
Deta Rahon Bas Yeh Sada Bar Sar-e-Mimber.
Ta Sorat Paiwand Jahan Bod Ali Bod.
Ta Naqsh Zameen Bod-o-Zaman Bod Ali Bod.
Shahi Keh Wali Bod-o-Wasi Bod Ali Bod.
Sultan Sakha-o-Karam-o-Jod Ali Bod.
Hum Mosa-o-Hum Esa-o-Hum Khizar-o-Hum Ayub.
Hum Yousuf-o-Hum Younus-o-Hum Hood Ali Bod.
Khursheed Sar-e-Sham Kahan Jata Hai.
Roshan :DABEER: Par Hai Jahan Jata Hai.
Magrib Hi Ki Janib Hai Mazar-e-Haider.
Yeh Shama Jalanay Ko Wahan Jata Hai.
Jis Ghari Bar Sar-e-Maidan Ali Boltay Hain.
Kanpne Lagtay Hain Tofan Ali Boltay Hain.
Barha Apne Sahaba Se Muhammad Ne Kaha.
Rakh Do Juzdan Mein Quran Ali Boltay Hain.
Qabar Mein Apne Muhibbon Ki Sada Se Pehle.
Mushkilein Karne Ko Aasan Ali Boltay Hain.
Midhat-e-Aal-e-Nabi Main Tu Likhe Jata Hoon.
Our Imla Mujhe :REHAN: Ali Boltay Hain.
Poet: :Zill e Raza Zaidi:
Farsi Poet (Istefadaa): :Shah Shams Tabreez:
Istefadaay Kalam: :Mirza Dabee – Dr Rehan Aazmi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi – Askari Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2020-21:
Composition: :Zill e Raza Zaidi:
#AliAliHaider
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com