Madh-e-Fatima Zahra Lyrics In Urdu 2020 Muzamil Abbas Zaidi
Madh-e-Fatima Zahra Lyrics In Urdu
Tauheed Ka Nishan Sadaqat Hain Fatima.
Tanha Daleel-e-Khatam-e-Nabowat Hain Fatima
Haqqa Keh Razdar-e-Mashiyat Hain Fatima.
Aaina-e-Jamal-e-Nabowat Hain Fatima.
Khuda Ne Hadi-e-Barhaq Se Youn Kalam Kiya.
Rasool-e-Pak Yeh Azmat Tumhein Mubarak Ho.
Yeh Meri Khas Inayat Hain Fatima Zahra.
Mere Hijab Ki Ismat Tumhein Mubarak Ho.
Tum Hi Ho Rehmat-e-Parwardigar Do Aalam.
Magar Yeh Tum Pe Bhi Rehmat Tumhein Mubarak Ho.
Woh Jiski Oat Mein Wahdat Ke Raaz Pinha Hain.
Zahoor-e-Pardah-e-Wahdat Tumhein Mubarak Ho.
Nijat Ka Hai Waseela Mashiyat-e-Qudrat.
Daleel-e-Khatam-Nabowat Tumhein Mubarak Ho.
Yehi Hai Izzat-o-Baqa-e-Baqa-e-Deen-e-Khuda.
Taharton Ki Taharat Tumhein Mubarak Ho.
Inhi Se Bag-e-Wilayat Ke Phool Mehkein Gaye.
Yeh Hain Mizaj-e-Nabowat Tumhein Mubarak Ho.
:NAWAZISH: Our :MUZAMIL: Naseeb Tu Dekho.
Mili Hai Tum Ko Shifat Tumhein Mubarak Ho.
Poet: :Nawazish Zaidi:
Manqabat Khuwan: :Muzamil Abbas Zaidi:
Manqabat Volume: :Muzamil Abbas Zaidi 2020-21:
Composition: :Zaheer Abbas:
#MadheFatimaZahra
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Madh-e-Fatima Zahra Lyrics In Urdu 2020 Muzamil Abbas Zaidi Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
