Qabar e Zehra Lyrics In Urdu and Roman Urdu
قبرِ زہراؑ
Qabrein Bana Rahe Hain Qabrein Mita Rahe Hain.
Ummat Se Qabar-e-Zahra Haider Chupa Rahe Hain.
Uthtey Hain Baithtay Hain Sar Apna Peettay Hain.
Zahra Ki Zakhmi Maiyyat Dafna Ke Aa Rahe Hain.
Karb-o-Bala Ka Shayad Aagaz Ho Gaya Hai.
Hasnain Ko Galay Se Ro Kar Laga Rahe Hain.
Zainab Ko De Rahe Hain Bosay Kalaiyon Par.
Darbar Ke Manazir Sab Yaad Aa Rahe Hain.
Kandhoon Pe Murtaza Ke Zahra Ka Hai Janaza.
Ya Apna Hi Janaza Haider Utha Rahe Hain.
Kya Hashar Dha Gaya Hai Zahra Ka Ik Janaza.
Turbat Mein Mustafa Bhi Aanso Baha Rahe Hain.
Sar Apna Peettay Hain Salman Our Qanbar.
Jibreel Syeda Ka Noha Suna Rahe Hain.
Aye :NOOR: Our :MUZAMIL: Mehshar Sa Ik Bapa Hai.
Dono Jahan Ke Malik Aanso Baha Rahe Hain.
Poet: :Noor Ali Noor:
Noha Khuwan: :Muzamil Abbas Zaidi:
Noha Volume: :Muzamil Abbas Zaidi 2020-21:
Composition: :Sayyed Zaire Naqvi:
#TeriZahraNu
#NohaLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com