Ali Akbar Ki Azaan Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir 2020
Ali Akbar Ki Azaan Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir
Subh-e-Ashora Hoi Maa Ne Ro Ro Ke Suni Ali Akbar Ki Azaan.
Aakhri Fajar Hai Yeh Iss Moazin Ke Liye Phir Yeh Aawaz Kahan.
Dasht Mein Pyasay Moazin Ne Jo Takbeer Kahi Aa Gayi Apne Musallay Pe Ali Ki Beti.
Yaad Phir Aayi Ossay Apne Baba Ki Azaan Ro Pari Aoun Ki Maa.
Abhi Kuch Dair Salamat Hai Haram Ka Pardah Sham Ke Waqt Jab Aaye Gi Azano Ki Sada.
Jaan Bananey Ke Liye Sar Chupaney Ke Liye Haye Chadrein Hoon Gi Kahan.
Ro Ke Betay Ne Kaha Baap Se Hasrat Hai Meri Aap Ki Behnein Tu Sun Lein Gi Sada Akbar Ki.
Inn Hawaon Se Kahin Rukh Madine Ka Karein Meri Sughra Hai Wahan.
Naam Aaya Jo Muhammad Ka Tu Roye Maula Inna Lillah Parha Our Yeh Ghazi Se Kaha.
Iss Ko Marein Gaye Sina Yeh Musalman Bhala Reham Khaein Gaye Kahan.
Aaya Jab Nam-e-Ali Uth Ke Yeh Maula Ne Kaha Main Fida Aap Pe Baba Meri Aoulad Fida.
Teer Asghar Ke Lagay Seena Akbar Ka Chiday Mujh Pe Khanjar Ho Rawaan.
Itna Tarpay Ga Hussain Ibn-e-Ali Aye Beta Teri Maa Teri Phophi Teri Sakina Sughra.
Jee Na Paein Gaye Sabhi Tujh Ko Barchi Jo Lagi Tujh Mein Hum Sab Ki Hai Jaan.
Masjid-e-Kofa Nazar Aane Lagi Karb-o-Bala Do Azano Pe Bohat Roi Hain Bint-e-Zahra.
Aaj Tak Bholi Nahi Aik Baba Ki Azaan Aik Akbar Ki Azaan.
Kis Qadar Dard Mein Dobi Thi Sada Akbar Ki Gash Se Uth Kar Kaha Sajjad Ne Batlaein Phophi.
Sab Kyun Rotay Hain Yahan Shoor Hai Kaisa Bapa Kaun Deta Hai Azaan.
Kaisay Manzar Ho Bhala :MIR TAKALLUM: Woh Raqam Baab-e-Saat Pe Hoin Satrah Azanein Jis Dam.
Sun Ke Ik Aik Azaan Ro Ke Kehti Thi Woh Maa Mere Akbar Ho Kahan.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2020-21:
Composition: :Waheed-ul-Hasan Kamaliya:
#AliAkbarKiAzaan
#NohayLyrics
#tajpoint
Shehzada Ali Akbar Noha Ali Akbar Ki Azaan Lyrics In Urdu