Hai Waqt-e-Azaan Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 1994

Hai Waqt-e-Azaan Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 1994

Hai Waqt-e-Azaan Hasan Sadiq Lyrics

Hai Waqt-e-Azaan Aa Ali Akbar Azan De.
Bolay Pisar Se Sibt-e-Payamber Azan De.

Yeh Aakhri Azaan Hai Sajdah Bhi Aakhri.
Arsh-e-Barin Pe Suntay Hain Haider Azan De.

Thandak Miley Rasool Ke Rozay Pe Mere Lal.
Ik Aag Si Hai Seene Ke Andar Azan De.

Nam-e-Khuda Rasool Ka Baqi Rahe Ga Dein.
Iss Deen Ki Baqa Ke Muqadar Azan De.

Kehti Hai Yeh Madine Se Aati Hoi Hawa.
Sughra Bhi Muntazir Hai Baradar Azan De.

Foaj-e-Addo Ko Haq Ki Sadaqat Dikhai De.
Nad-e-Ali Ke Zoor Par Uth Kar Azan De.

Jis Ka Gala Nabi Ke Labon Ki Ho Ja Namaz.
Phir Woh Gala Na Kyun Tah-e-Khanjar Azan De.

Chalte Hain Teer Kitne Namazi Hai Khoon Mein Tar.
Aye Mere Lal Sabar Se Seh Kar Azan De.

:REHAN: Yeh Namaz-e-Aqeedat Ka Waqt Hai.
Nohon Ko Tu Azan Bana Kar Azan De.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 1994-95:

#HaiWaqteAzaan
#NohayLyrics
#tajpoint

Hai Waqt-e-Azaan Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 1994 Write Up Poster Image

Hai Waqt-e-Azaan Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 1994

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!