Shabir Ka Yeh Matam Lyrics In Urdu and Roman Urdu
شبیرؑ کا یہ ماتم
Meri Rooh Ki Giza Hai Shabeer Ka Yeh Matam.
Zainab Ki Bhi Dua Hai Shabeer Ka Yeh Matam.
Matam Mein Uthnay Wala Har Hath Matami Ka.
Har Door Ke Yazeedon Ke Munh Pe Hai Tamacha.
Mazloom Ki Sada Hai Shabeer Ka Yeh Matam.
Zikar-e-Ghareeb-e-Zahra Jis Ne Mitana Chaha.
Yeh Keh Ke Matami Ne Oss Ko Kiya Hai Ruswa.
Apni Tu Yeh Baqa Hai Shabeer Ka Yeh Matam.
Khud Kush Ke Sare Hamlay Na Kaam Ho Rahe Hain.
Paigham Karbala Ke Sab Aam Ho Rahe Hain.
Darasal Mojza Hai Shabeer Ka Yeh Matam.
Fatwa Lagane Walay Matam Na Rook Paye.
Zulm-o-Sitam Ke Bani Kis Tarha Bach Sakein Gaye.
Jari Jo Har Jagah Hai Shabeer Ka Yeh Matam.
Mazloom-e-Karbala Ka Noha Parha Jahan Par.
:FARMAN: Haye Oss Dam Har Aik Jagah Barabar.
Hone Laga Bapa Hai Shabeer Ka Yeh Matam.
Poet: :Syed Farman Haider Shah Naqvi:
Noha Khuwan: :Zakir Bilawal Ali Hussaini:
Noha Volume: :Zakir Bilawal Ali Hussaini 2020-21:
New Nohay Lyrics 1442 Hijri 2020
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com