Wahab e Kalbi Lyrics In Urdu Shahid Baltistani 2020

Wahab e Kalbi Lyrics In Urdu Shahid Baltistani 2020

Wahab e Kalbi Lyrics In Urdu

Wahab-e-Kalbi, Wahab-e-Kalbi Essa Ke Ummati Tum Par Salam Ho.
Musalmano!-
Musalmano Hussain Ibn-e-Ali Rehmat Lil Alameen Ka Nawasa Our Mohsin-e-Insaniyat Hai- Our Iss Ki Daleel Yeh Hai Keh Maidan-e-Karbala Mein Jahan Rasool-e-Khuda Ka Kalma Parhne Walon Mein Chand Janisaron Ne Haq-e-Mawaddat Ada Kartay Hoye Pyas Ke Aalam Mein Jam-e-Shahadat Noosh Farmaya- Wahin Hazrat Esa Alh Aslam Ke Umataiyon Mein Aik Wahab-e-Kalbi Bhi Tha- Wahab Karbala Ka Woh Dulha Hai Jis Ne Apni Maa Our Apni Zojah Ke Sath Khanwada Hussain Ibn-e-Ali Alh Aslam Par Apni Jan Nisar Kar Di- Salam Ho Wahab Ki Maa Par Salam Ho Wahab Ki Maa Par Keh Lashkar-e-Yazid Se Jab Ossay Apne Lal Ka Sar Mila Tu Oss Ne Wahab Ka Sar Lautatay Hoye Fakhriya Andaz Se Kaha-
Mera Bacha Hussain Ibn-e-Ali Ka Sadqa Hai Our Hum Sadqa Wapis Nahi Letay-

Akbar Ki Maa Se Kehti Thi Ro Kar Wahab Ki Maa.
Bibi Mera Pisar Kahan Akbar Tera Kahan.

Bibi Yeh Soch Kar Mujhe Aata Nahi Hai Chain.
Akbar Ka Dard Dekhein Gaye Kaisay Bhala Hussain.
Rotay They Woh Wahab Jo Ragarta Tha Ayeriyaan.

Hum Ne Tu Kalma Parh Liya Akbar Ko Dekh Kar.
Yeh Kaisay Loag Hain Jinhein Shak Hai Hussain Par.
Lagta Hai Mujh Ko Koi Musalmaan Nahi Yahan.

Hatti Nahi Youn Aap Ke Shehzaday Se Nazar.
Shadi Kiye Beghair Hi Mar Jaye Ga Pisar.
Ik Maa Ke Dil Ka Haal Samajhti Hai Aik Maa.

Aanso Khushi Ke Behney Lagay Gham Ke Sath Sath.
Maqtal Mein Main Ne Dekha Jo Pehlu Pe Rakhay Hath.
Roti Thi Mere Lal Ko Akbar Ki Dadi Jaan.

Khud Apni Tarbiyaat Pe Kiya Shukar-e-Kibriya.
Zojah Se Jo Wahab Ne Wasiyaat Mein Yeh Kaha.
Fizza Se Pehle Hathoon Mein Bandhwana Rasiyaan.

Main Zoja-e-Wahab Se Yeh Keh Deti Hoon Abhi.
Woh Bhai Keh Ke Lash Pe Akbar Ke Roye Gi.
Main Ne Suna Hai Fatima Sughra Nahi Yahan.

Umm-e-Wahab Ki Lash Pe Laila Ne Yeh Kaha.
:SAJJAD: Iss Se Bhar Ke Muqadar Ho Our Kya.
Ran Mein Shaheed Ho Gayi Betay Ke Sath Maa.

Poet: :Mir Sajjad Mir:
Noha Khuwan: :Shahid Baltistani:
Noha Volume: :Shahid Baltistani 2020-21:
Composition: :Shahid Baltistani:
Narration: :Mir Takallum Mir:

New Nohay Lyrics 1442 Hijri 2020

#WahabeKalbi
#NohayLyrics
#tajpoint

Shahid Baltistani Wahab e Kalbi Lyrics In Urdu

Wahab e Kalbi Lyrics In Urdu Shahid Baltistani 2020 Write Up Poster Image

Wahab e Kalbi Lyrics In Urdu Shahid Baltistani 2020

Video Link
error: Content is protected !!