Mazloom Ka Matam Hai Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1999

Mazloom Ka Matam Hai Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1999

Mazloom Ka Matam Hai Nadeem Sarwar.

Mazloom Ka Matam Hai, Mazloom Ka Matam.
Logo Yeh Tamasha Nahi Iss Roney Pe Hansna Nahi.

Kya Milta Hai Matam Mein Kis Tarha Bataein.
Mazloom Ko Rotay Hain Mazloom Jahan Mein.
Pathar Nahi Seene Mein Dil Hai Tu Yeh Matam.

Ghar Fatima Zahra Ka Kis Tarha Se Ujra.
Jab Hogi Qayamat Tu Youn Aaein Gi Zahra.
Ik Hath Mein Do Bazu Ik Hath Mein Parcham.

Jab Pyaray Muhammad Se Main Pyar Karon Ga.
Phir Oss Ke Nawasay Ka Matam Bhi Karon Ga.
Jis Ghar Mein Muhammad Hain Oss Ghar Ka Yeh Matam.

Logo Nabi Zadi Ka Bazaron Mein Aana.
Our Bandh Ke Rasi Mein Darbaron Mein Lana.
Iss Baat Pe Rotay Hain Iss Dard Ka Matam.

Zanjeron Mein Jakra Hai Shabeer Ka Beta.
Maa Behnein Khulay Sar Thin Khoon Rota Tha Maula.
Sajjad Se Pocho Tu Kyun Hai Yeh Kamar Khum.

Khat Fatima Sughra Ka Kis Waqt Mila Hai.
Jab Bhai Sina Khaye Reti Pe Para Hai.
Khat Kaun Parhey Tera Tanhai Ka Aalam.

:REHAN: Ka :SARWAR: Ka Bakhshish Ka Waseela.
Yeh Noha Yeh Matam Hai Yeh Farsh Azza Ka.
Our Sar Pe Khula Apne Abbas Ka Parcham.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1998-99:

#MazloomKaMatamHai
#NohayLyrics
#tajpoint

Mazloom Ka Matam Hai Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1999 Write Up Poster Image

Mazloom Ka Matam Hai Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1999

Video Link
error: Content is protected !!