Kaisay Bholaye Maa Lyrics In Urdu and Roman Urdu
کیسے بُھلائے ماں
Akbar Teri Barchi Ka Gham Kaisay Bhulaye Maa.
Oss Par Yeh Sitam Tujh Ko Ro Bhi Nahi Paye Maa.
Beta Teri Madar Ka Arman Porana Tha.
Aye Lal Tere Rukh Pe Sehra Bhi Sajana Tha.
Woh Chehra Kafan Mein Ab Kis Tarha Chupaye Maa.
Baba Yeh Zaeefi Hai Our Dard Ki Shiddat Bhi.
Yeh Lash Jawaan Ki Hai Tanha Nahi Uth Sakti.
Kya Baba Ke Sath Aa Kar Maiyyat Ko Uthaye Maa.
Jab Gayarah Muharram Ko Maqtal Mein Woh Aayi Thi.
Tu Lash Pe Akbar Ki Ro Ro Ke Woh Kehti Thi.
Kis Tarha Se Sar Tera Katney Se Bachaye Maa.
Aye Lal Jawaan Aa Ja Maa Teri Balaein Le.
Tere Baal Sanwarey Our Tere Zakhmo Ka Khoon Ponchey.
Mati Tere Chehray Se Maqtal Ki Churaye Maa.
Shohar Na Raha Mera Beta Na Raha Mera.
Our Iss Pe Sitam Yeh Hai Pardah Na Raha Mera.
Bazar Mein Ab Chehra Baloon Se Chupaye Maa.
Main Sochti Hoon Aksar Yeh Zulm Bhi Kaisa Hai.
Naizay Pe Tera Sar Hai Dil Mera Tarapta Hai.
Naizay Se Jo Utray Sar Aankhon Se Lagaye Maa.
Atharwin Mannat Bhi Maa Ne Na Barhai Thi.
Yasrab Se Tera Sehra Jo Sath Mein Layi Thi.
Teri Lash Pe Woh Sehra Ab Kaisay Sajay Maa.
Har Aik Musibat Mein Har Aik Hi Mushkil Mein.
Bazar Ke Rastoon Par Darbar Ki Manzil Mein.
Har Lamha Tujhe Beta Ro Ro Ke Bulaye Maa.
Roney Pe Bhi Hai Pehra Matam Se Bhi Roka Hai.
Har Ashk Pe Tana Hai Har Aah Pe Durrah Hai.
Yeh Gham Bhi Hai Gham Tera Kis Tarha Manaye Maa.
:SAQLAIN: Bhala Kaisay Madar Ka Biyaan Ho Gham.
Ro Ro Ke Woh Karti Thi Faryad Yehi Paihum.
Marey Lal Jahan Tu Hai Wahin Jald Yeh Aaye Maa.
Poet: :Allama Syed Zille Saqlain Zaidi:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2020-21:
Composition: :Zil-e-Raza Zaidi:
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com