Lanat Bar Dushman-e-Zahra Lyrics In Urdu and Roman Urdu
لعنت بر دُشمنِ زہراؑ
Lanat Bar Dushman-e-Nabi.
Lanat Bar Dushman-e-Ali.
Lanat Bar Dushman-e-Zahra.
Aye Ahl-e-Azza Aao Suno Gham Ka Yeh Qissa.
Jis Beti Ko Kehte Nabi Umm-e-Abeeha.
Ummat Ne Ossay Bad-e-Nabi Khoob Rulaya.
Darbar Mein Makhdoma-e-Aalam Ko Bulaya.
Aaj Talak Roti Hai Dunya Haan Bari Mazloom Hai Zahra.
Kya Ajar-e-Risalat Yeh Muhammad Ko Mila Hai.
Oss Ghar Ko Jala Dala Jahan Deen Pala Hai.
Shehzadi Pe Jalta Howa Darwaza Gira Hai.
Aye Momino Sar Peeto Yeh Gham Sab Se Bara Hai.
Ghurbat-e-Haider Ka Khulasa Haan Bari Mazloom Hai Zahra.
Socho Tu Musalmano Sitam Aisa Howa Kyun.
Shehzadi Ko Darbar Mein Bulwaya Gaya Kyun.
Siddiqa-e-Konain Ko Jhutlaya Gaya Kyun.
Main Jhoot Nahi Bolti Yeh Kehna Para Kyun.
Dil Yeh Tumhara Bhi Kahey Ga Haan Bari Mazloom Hai Zahra.
Tareekh Mein Milta Hai Qayamat Ka Yeh Manzar.
Jab Ghusal-o-Kafan Deney Lagay Zahra Ko Haider.
Jis Waqt Nazar Aaya Unhein Pehlu Shikasta.
Ik Cheekh Uthi Dil Se Tu Roney Lagay Maula.
Noha Hai Yeh Shair-e-Khuda Ka Haan Bari Mazloom Hai Zahra.
Iss Gham Ke Tasawar Se Larazta Hai Mera Dil.
Jo Loag Musalman They Sab Ho Gaye Batil.
Naam Unn Ke Tabarey Mein Kiya Karta Hoon Shamil.
Mohsin Ke Bhi Qatil Hain Woh Zahra Ke Bhi Qatil.
Hashar Talak Main Tu Kahon Ga Haan Bari Mazloom Hai Zahra.
Bad-e-Paygamber-e-Islam Raha Kuch Bhi Nahi.
Oss Ki Taqdeer Mein Matam Ke Siwa Kuch Bhi Nahi.
Masiwa Dard Ke Daman Mein Raha Kuch Bhi Nahi.
Haye Kyun Bint-e-Nabi Yeh Sitam Sehti Rahi.
Jab Keh Darwaza Gira Keel Bazu Mein Chubhi.
Silsila Barhta Gaya Bas Gayi Karb-o-Bala.
Chal Gayi Sheh Pe Churi Aa Gayi Sham-e-Jafa.
Ik Roz Mein Zahra Ka Bhara Ghar Howa Barbad.
Mardoon Mein Faqat Zindah Bachay Baqir-o-Sajjad.
Sab Qaidi Bane Sham Chaley Mail-e-Faryad.
Darbar Mein Zalim Ke Gayin Zainab-e-Nashad.
Kehti Rahein Sani-e-Zahra Haan Bari Mazloom Hai Zahra.
Mismar Baqiya Mein Howa Marqad-e-Zahra.
Iss Gham Mein Likha :MAZHAR:-o-:MEESUM: Ne Yeh Noha.
Ab Barhwein Sarkar Banaein Gay Woh Roza.
Phir Ho Ga Wahan Dushman-e-Zahra Pe Tabarah.
Gonjay Fizaon Mein Yeh Noha Haan Bari Mazloom Hai Zahra.
Qatilan-e-Zahra Par Lanat.
Shimar-o-Hurmala Par Lanat.
Dushman-e-Azza Par Lanat.
Dushman-e-Wila Par Lanat.
Lanat Bar Hinda Jigar Khawar.
Lanat Bar Muljim-e-BadKar.
Lanat Bar Yazid-e-May Khawar.
Lanat Bar Dushman-e-Mukhtar.
Poet: :Mazhar Abidi:
Noha Khuwaan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2019-20:
Composition: :Raza Shah:
#LanatBarDushmaneZahra
#NohayLyrics
#tajpoint