Kitni Mazloom Hai Zahra Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Kitni Mazloom Hai Zahra Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

کتنی مظلوم ہے زہراؑ

Bad-e-Rasool-e-Pak Jo Zulm-o-Sitam Hoye.
Ta Marg Unn Ki Aankh Se Aanso Nahi Rukay.
Aankhon Ke Gird Par Gaye Halqay Batool Ke.
Yeh Zulm Ghair Ne Nahi Apno Ne Dhaye They.
Sadiyaan Guzar Dein Gayin Jari Hai Woh Jafa.
Ahl-e-Azza Tu Aaj Bhi Kartay Hain Yeh Boka.
Rodad-e-Gham Sunaon Zara Kalma Go Suno.
Tareekh De Rahi Hai Gawahi Yeh Aap Ko.
Aaye They Aag Le Ke Dar-e-Syeda Pe Jo.
Esayi Bhi Nahi They Yahudi Nahi They Woh.
Bibi Pe Jab Giraya Dehakta Howa Woh Dar.
Islam Keh Raha Tha Yehi Cheekh Cheekh Kar.
Khamosh Buturab They Mansha-e-Kibriya.
Darbar Mein Laeen Ke Pohanchin Jo Syeda.
Hasnain Ke Siwa Koi Humdard Hi Na Tha.
Sab Jaan Nisar Ho Gaye Qatil Ke Humnawa.
Jo Chor Kar Gaye They Janaza Rasool Ka.
Kartay Bhala Rasool Ki Beti Se Kya Wafa.
Atharwin Baras Mein Uthaye Hain Yeh Mahan.
Din Raat Syeda Ke Kalejay Mein Thi Dukhan.
Dekhi Gul-e-Haider-e-Karrar Mein Rasan.
Roye Hussain Zainab-o-Kulsoom Our Hasan.
Jab They Ali Hisar Mein Oss Din Ko Roi Hai.
Tanhaiyon Mein Baith Ke Mohsin Ko Roi Hai.
Karwat Se Daein Janib Kabhi So Nahi Sakein.
Khoon Ruk Nahi Raha Tha Jo Zakhmi Hoi Jabeen.
Totein Jo Pasliyaan Sakoon Tha Kahin Nahi.
Ab Jee Nahi Sakoon Gi Yeh Zahra Ko Tha Yaqeen.
Iss Darjah Zakhm Khaye Hain Qunfuz Ki Zaat Se.
Tasbeeh Parh Na Paein Kabhi Seedhey Hath Se.
Ghusal-o-Kafan Ka Waqt Jo Aaya Tha Ba Khuda.
Maula Ke Ghar Qayamat-e-Sughra Hoi Bapa.
Giriya Ali Ka Sun Ke Yeh Zainab Ne Ki Boka.
Jaan Se Guzar Na Jaein Kahin Shair-e-Kibriya.
Yara Raha Na Zabt Ka Roney Lagay Ali.
Pehlu Ka Zakhm Dekh Ke Kehne Lagay Ali.
Kuch Tu Batao Logo Rulaya Gaya Hai Kyun.
Makhdoma-e-Jahan Ko Sataya Gaya Hai Kyun.
Yeh Zulm Bad-e-Marg Bhi Dhaya Gaya Hai Kyun.
Maiyyat Ko Fatima Ki Chupaya Gaya Hai Kyun.
Chalees Qabar-e-Zahra Banaein Thin Iss Liye.
Zahra Ki Qabar Koi Musalmaan Na Dekh Le.
Mismar Qabar-e-Fatima Zahra Ko Kar Diya.
Jari Hai Phir Bhi Zulm Ka Ummat Mein Silsila.
Le Lo Jo Nam-e-Qatil-e-Zahra Tu Hai Saza.
Sadiyon Ke Baad Bhi Hai Wohi Zulm Our Jafa.
Socha Kabhi Nahi Tha Keh Yeh Din Bhi Aaye Ga.
Parhna Hai Jurm Marqad-e-Zahra Pe Fateha.
:MEESUM: Ke Ashk Tera Qalam :MAZHAR ABIDI:.
Kar Hi Nahi Sakein Gay Biyaan Woh Sitam Kabhi.
Jo Zulm Seh Gayi Hai Woh Beti Rasool Ki.
Ta Ummar Meri Bibi Azadar Hi Rahi.
Ro Kar Hayat Kati Ghamo Ki Aseer Ne.
Likha Hai Marsiyon Mein :ANEES:-o-:DABEER: Ne.
Poet: :Mazhar Abidi:
Noha Khuwaan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2021-22:
Composition: :Mesum Abbas:
#KitniMazloomHaiZahra
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!