Mazloom-e-Karbala Ki Azadar Aa Gayi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
مظلومِ کربلا کی عزادار آگئی
Ghairat-e-Mustafa Be Rida Aa Gayi.
Bint-e-Shair-e-Khuda Be Rida Aa Gayi.
Mazloom-e-Karbala Ki Azadar Aa Gayi.
Zainab Barehna Sar Jo Bazar Aa Gayi.
Talwar Ke Beghair Laron Gi Main Aisi Jang.
Khutbay Parhon Gi Aisay Keh Dushman Bhi Hoon Gay Dang.
Dekho Hussain Tum Bhi Hamarey Jehad Ko.
Zainab Hai Aaj Ban Ke Alamdar Aa Gayi.
Zainab Ne Zindagi Mein Na Dekhi Koi Khushi.
Roti Hoi Woh Sham Ki Rahoon Mein Mar Gayi.
Tanha Lehad Mein Bhai Ko Roney Ke Wastay.
Sarkar-e-Panjtan Ki Woh Ghamkhuwar Aa Gayi.
Jis Ke Hayya Se Shams Ne Munh Ko Chupa Liya.
Ummat Shaqi Ne Qaidi Ossi Ko Bana Liya.
Karb-o-Bala Ke Dasht Se Bazar-e-Sham Mein.
Chadar Luta Ke Qafila Salar Aa Gayi.
Aaya Sawal Jab Kabhi Dein Ke Usool Ka.
Aaya Hai Kam Khon Ali-o-Batool Ka.
Sunat Ada Batool Ki Karne Ke Wastay.
Shabeer Ki Behan Bharay Darbar Aa Gayi.
Jis Dam Utha Yeh Shoor Ke Pyasay Ko Mar Lo.
Jaldi Karo Nabi Ke Nawasay Ko Mar Lo.
Sun Kar Yeh Shoor Dhondti Tanha Hussain Ko.
Maqtal Mein Bint-e-Haider-e-Karrar Aa Gayi.
Chehlum Ko Karbala Mein Jo Pohancha Tha Qafila.
Zainab Ne Keh Ke Naqay Se Khud Ko Giraya Tha.
Badlay Chuka Ke Baba Ke Sare Mere Hussain.
Chehlum Mananay Aap Ki Zawwar Aa Gayi.
Mehshar Ke Roz Aaye Gi Jab Nayab-e-Batool.
:TANVEER: Yeh Kahin Gay Khuda Se Mere Rasool.
Zindah Rakhay Hain Jis Ne Iraday Hussain Ke.
Ya Rab Woh Mere Dein Ki Madadgar Aa Gayi.
Poet: :Syed Zameer-ul-Hassan Tanveer Shah(Late):
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2020-21:
Composition: :Akbar Abbas – Katri Bawa:
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com