Zeen Se Jab Lab-e-Darya They Alamdar Giray Lyrics In Urdu and Roman Urdu
زین سے جب لبِ دریا تھے علمدارؑ گرے
Thamay Kausar Pe Jigar Haider-e-Karrar Girey.
Dasht Mein Bikhrey Jo Abbas Ke Dekhey Bazu.
Arsh Par Rotay Hoye Jafar-e-Tayyar Girey.
Do Katay Hathoon Mein Jab Sheh Ko Nazar Aaya Alam.
Khak Par Thamay Kamar Ko Sheh-e-Abrar Girey.
Shimar Kehta Tha Lo Ab Ho Gaye Tanha Shabeer.
Foaj-e-Shabeer Ke Hain Ghorey Se Salar Girey.
Khak Uratay They Ali Peetti Thin Sar Zahra.
Dasht Mein Dosh-e-Muhammad Ke Jab Aswar Girey.
Diya Abbas Ne Bin Bazu Sahara :HAMZA:.
Shukar-e-Abbas Keh Jab Jab Bhi Azadar Girey.
Lash-e-Abbas Pe Our Lasha-e-Akbar Pe :ASAD:.
Aate Aate Hoye Shabeer Kayi Bar Girey.
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khuwan: :Hamza Ali Khaliq:
Noha Volume: :Hamza Ali Khaliq 2020-21:
Composition: :Abid Ali Qasoori:
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com