Ali Khamosh Baithe Hain Lyrics In Urdu Ameer Hasan Aamir 2020
Ali Khamosh Baithe Hain Lyrics In Urdu
Zahra Ko Dafan Kar Ke Jo Haider-e-Karrar Aaye.
Sar Ko Jhukaye Aasteen Ultay Ba Hal-e-Zaar Aaye.
Daman Phata Howa Hai Gareban Chak Hai.
Sar Par Mazar-e-Fatima Zahra Ki Khak Hai.
Ali Khamosh Baithay Hain Udasi Ghar Mein Chayi Hai.
Bina Madar Ke Bachoon Par Yeh Pehli Raat Aayi Hai.
Kahin Bistar Pe Munh Dhanpey Hoye Zainab Sisakti Hai.
Kahin Kulsoom Chupkay Chupkay Roti Hai Tarapti Hai.
Keh Nanhi Bachiyon Ke Ashkon Se Bheegi Chatai Hai.
Jidhar Bhi Dekhtey Hain Jaan Nazar Aati Hai Bachoon Ko.
Dar-o-Dewar Mein Bas Maa Nazar Aati Hai Bachoon Ko.
Yeh Nanhay Bachoon Ko Taqdeer Kis Manzil Pe Layi Hai.
Kahin Kis Se Ali Jo Zakhm Dil Par Khaye Baithay Hain.
Kalejay Se Hasan Hussain Ko Liptaye Baithay Hain.
Haye Mushkil Kusha Pe Waqt Yeh Mushkil Kushai Hai.
Kabhi Kulsoom Ko Dekha Kabhi Zainab Ko Behlaya.
Kabhi Sotay Hoye Hasnain Ke Baloon Ko Sehlaya.
Kabhi Pani Pila Kar Shah Ko Dharas Bandhai Hai.
Kaha Bachoon Ne Ro Ro Kar Khudara Ab Tu Aa Jao.
Thapak Kar Loriyaan De Kar Humein Amma Sula Jao.
Batao Aaj Tak Tanha Humein Kya Neend Aayi Hai.
Kabhi Liptay Musallay Se Kabhi Quran Ko Choma.
Kabhi Nalain Dekhi Bistar-e-Veeran Ko Choma.
Kabhi Tasbeeh Maa Ki Aankhon Se Apne Lagai Hai.
Andherey Sar Pataktay Hain Ujala Kyun Nahi Hota.
Yeh Kaisi Raat Aayi Hai Sawera Kyun Nahi Hota.
Qasam Iss Raat Ne Bhi Aaj Na Dhalney Ki Khayi Hai.
Jo Aayi Maa Ki Khushbo Farq Par Ik Saibaan Le Kar.
Woh Bachay Our Bhi Kuch Roye Zyada Hichkiyaan Le Kar.
Ali Ne Chadar-e-Zahra Jo Bachoon Ko Urhai Hai.
Ali Hasrat Se Taktay Hain Kabhi Betab Hotey Hain.
Mere Masoom Bachay Kis Tarha Bin Maa Ke Sotay Hain.
Dohai Khaliq-e-Akbar Dohai Hai Dohai Hai.
Musalsal Raat Bhar :AAMIR: Sabhi Ke Ashk Behtay They.
Laga Kar Seene Se :AINEE: Ali Bachoon Ko Kehte They.
Tumhari Maa Se Our Hum Se Qayamat Tak Judai Hai.
Poet: :Ainee Rizvi:
Noha Khuwan: :Ameer Hasan Aamir:
Noha Volume: :Ameer Hasan Aamir 2019-20:
#AliKhamoshBaitheHain
#AyameFatmiyah
#NohaLyrics
#tajpoint