Wasiyat Zehra Aur Hussain Lyrics In Urdu 2020
Wasiyat Zehra Aur Hussain Lyrics In Urdu
Khuwab Mein Zahra Ne Baba Ko Jo Dekha Aik Shab.
Khush Hoin Pas Main Baba Ke Chali Jaon Gi Ab.
Haye Roney Lagin Bachoon Ka Khiyal Aa Gaya Jab.
Yeh Khabar Hi Na Hoi Pas Hussain Aa Gaye Kab.
Amma Dhondein Gay Kahan Yaad Agar Aaein Gi.
Hum Tu Mar Jaein Gay Gar Aap Chali Jaein Gi.
Maa Ne Jab Yeh Suna Dil Tarapney Laga.
Pyar Kartay Hoye Fatima Ne Kaha.
Dekho Hussain Mere Hussain Aisay Nahi Kehte.
Maa Kissi Ki Hamesha Rahi Hai Kabhi.
Main Bhi Bichari Thi Amma Se Bachpan Mein Hi.
Maa Ke Jane Ka Dukh Tu Bohat Tha Magar.
Dekho Main Bhi Tu Bin Maa Ke Jeeti Rahi.
Tum Ko Meri Qasam Tum Se Bichrein Jo Hum.
Zabt Karna Hai Aye Lal Maa Ka Yeh Gham.
Haal Main Ne Kissi Ko Sunaya Nahi.
Khud Tu Roi Ali Ko Bataya Nahi.
Mera Pehlu Shikasta Hai Bas Iss Liye.
Apne Seene Se Tujh Ko Lagaya Nahi.
Tooti Hain Pasliyaan Kar Na Payi Biyaan.
Kitni Takleef Mein Jee Rahi Hai Yeh Maa.
Mujh Ko Maloom Hai Mere Noor-e-Nazar.
Pyas Lagti Hai Tum Ko Bohat Raat Bhar.
Pyas Sehney Ki Adat Bhi Dalo Zara.
Pyasa Rehna Paray Kab Kahan Kya Khabar.
Pyas Tum Ko Lagay Our Na Pani Miley.
Yeh Dua Hai Ke Woh Din Na Aaye Kabhi.
Aye Mere Dil Mere Chain Mere Haseen.
Na Pareshan Ho Maa Abhi Hai Yahin.
Dekho Marne Ki Ab Baat Karna Nahi.
Maut Se Pehle Hum Mar Na Jaein Kahin.
Tum Ho Dunya Meri Tum Se Hai Zindagi.
Tum Ko Dekhon Tu Chalti Hain Sansein Meri.
Tum Ko Khana Bhi Fizza Khilaye Gi Ab.
Our Saweray Wohi Munh Dhulaye Gi Ab.
Tum Jahan Jao Gay Sath Jaye Gi Woh.
Sath Maa Ki Tarha Woh Nibhaye Gi Ab.
Palay Gi Ab Wohi Zid Na Karna Kabhi.
Khush Raho Gay Tu Maa Ko Bhi Hogi Khushi.
Din Woh Aaya Ke Jab Chal Basein Fatima.
Maa Ki Maiyyat Pe Shabeer Ne Di Sada.
Tum Bulao Gi Tu Pas Aaon Ga Main.
Totay Band-e-Kafan Fatima Ne Kaha.
Aa Ja Aye Meri Jaan Tujh Pe Qurban Maa.
Jab Hussain Aa Ke Liptay Tu Boli Yeh Maa.
Aye :RAZA: Our :ZEESHAN: Dil Tham Lo.
Ro Ke Shabeer Kehte They Amma Suno.
Dekho Tum Ne Bulaya Tu Main Aa Gaya.
Jab Bulaon Ga Aao Gi Wadah Karo.
Maa Ne Wadah Kiya Beta Chup Ho Gaya.
Jab Janaza Utha Phir Na Aayi Sada.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Noha Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2020-21:
Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi:
#WasiyatZehraAurHussain
#AyameFatmiyah
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha Wasiyat Zehra Aur Hussain Lyrics