Ghar Aake Fatima Ko Safdar Kaleem Lyrics In Urdu 2024

Ghar Aake Fatima Ko Safdar Kaleem Lyrics In Urdu 2024

Ghar Aake Fatima Ko Safdar Kaleem.

Qabar-e-Nabi Pe Pohanchay Jab Maa Ko Le Ke Kamsin.
Zahra Pukari Aisay Jeeti Hoon Aap Ke Bin.
Kehte They Tum Kissi Ka Marta Hai Baap Jis Din.
Detey Hain Sab Dilasa Beti Ko Aa Ke Lekin.

Ghar Aa Ke Fatima Ko Mara Gaya Hai Baba.
Beti Ko Baap Ka Youn Pursa Mila Hai Baba.

Pehle Salam Ali Ko Karti Thi Hath Utha Kar.
Rakhti Hoon Hath Ab Main Chadar Mein Hi Chupa Kar.
Zalim Ka Taziyana Jab Se Laga Hai Baba.

Pehlu Howa Shikasta Tooti Hain Pasliyaan Bhi.
Chehray Pe Bhi Nishaan Hain Zakhmi Hain Ungliyaan Bhi.
Syedaniyon Ko Koi Youn Marta Hai Baba.

Aata Nahi Kissi Ke Pairon Mein Waram Younhi.
Darbar Mein Akeli Main Dair Tak Khari Thi.
Pehla Qadam Na Pocho Kaisay Utha Hai Baba.

Hansta Raha Sand Ke Tukray Oranay Wala.
Jeetay Jee Fatima Ko Iss Gham Ne Mar Dala.
Darbariyon Ne Mujh Ko Jhoti Kaha Hai Baba.

Kaisay Mere Hasan Ne Mujh Ko Sanbhala Aa Kar.
Girney Lagi Zameen Pe Haye Main Larkhara Kar.
Zalim Ka Jab Tamacha Main Ne Saha Hai Baba.

Baloon Mein Hai Safaidi Kam Ho Gayi Nazar Bhi.
Atharwin Baras Mein Kham Ho Gayi Kamar Bhi.
Iss Umar Mein Zaeefa Ab Fatima Hai Baba.

Oss Waqt Mustafa Ki Turbat Larz Rahi Thi.
:ZEESHAN: Our :SAFDAR: Jab Boli Ro Ke Beti.
Ab Jald Maut Aaye Bas Yeh Dua Hai Baba.

Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Safdar Kaleem:
Noha Volum: :Safdar Kaleem 2023-24:
Composition: :Zeeshan Abidi:

#GharAakeFatimaKo
#NohayLyrics
#tajpoint

Ghar Aake Fatima Ko Safdar Kaleem Lyrics In Urdu 2024 Write Up Poster Image

Ghar Aake Fatima Ko Safdar Kaleem Lyrics In Urdu 2024

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!