Jahan Hussain Wahan Page 2 Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2010
Jahan Hussain Wahan Page 2 Nadeem Sarwar.
Magar Namaz Se Pocho Keh Karbala Kya Hai.
Hussain Our Tera Rishta-e-Wafa Kya Hai.
Kaha Namaz Ne Sun Lo Meri Baqa Kya Hai.
Bas Aik Sajda-e-Shabeer Ke Siwa Kya Hai.
Hussain Hi Ka Gharana Bacha Gaya Mujh Ko.
Woh Khud Ujar Gaya Lekin Saja Gaya Mujh Ko.
Maiyan-e-Karb-o-Bala Aah Main Ne Kya Dekha.
Ghira Laeeno Mein Kunba Rasool Ka Dekha.
Batool Zadoon Ko Be Aab-o-Be Giza Dekha.
Bahata Pani Udhar Lashkar-e-Jafa Dekha.
Namaz Parhtay Rahe Dil Mein Izterab Na Tha.
Guzar Gaye They Kayi Din Keh Ghar Mein Aab Na Tha.
Bataon Kaisay Keh Daswein Ko Main Ne Kya Dekha.
Sahar Hoi Tu Shahadat Ka Silsila Dekha.
Kissi Ka Seena Tu Zakhmi Koi Galla Dekha.
Lab-e-Furat Alam Khon Mein Bhara Dekha.
Hussain Lashon Pe Lashein Younhi Uthatay Rahe.
Our Apni Rah-e-Shahadat Ki Samt Jate Rahe.
Kamar Raku Ki Tarha Thi Magar Hussain Uthay.
Keh Ahl-e-Zulm Pe Lazim Tha Ab Keh Taig Chaley.
Ghazab Ki Taig Chali Koi Rokta Kaisay.
Imam-e-Waqt They ALLAH Ki Raza Pe Rukay.
Azan-e-Asar Suni Dekha Alam-e-Bala.
Kaha Hussain Ne Subhana Rabbi Al Ala.
Aayi Sada-e-Gaib Ibadat Ka Waqt Hai.
Aye Fatima Ke Lal Tilawat Ka Waqt Hai.
Janat Mein Saf Bandhi Hai Imamat Ka Waqt Hai.
Bas Bas Hussain Bas Yeh Ibadat Ka Waqt Hai.
Rakh Li Mayan Mein Sheh-e-Wala Ne Zulfiqar.
Woh Ghool Bandhay Aaye Kamaan Daar Das Hazar.
Woh Be Shumar Taigon Ke Phal Our Ik Hussain.
Woh Sainkaron Pyam-e-Ajal Our Ik Hussain.
Dobay Hoye They Khon Mein Gesu Hussain Ke.
Teeron Ne Chan Dalay They Pehlu Hussain Ke.
Naizay Ka Bin-e-Wahab Ne Pehlu Pe Kiya Waar.
Kandhey Pe Chali Sath Zarara Ki Bhi Talwar.
Nawak Bin-e-Kahil Ka Kalejay Ke Howa Paar.
Bazu Mein Dar Aaya Tabar-e-Kholi-e-Khonkhuwar.
Taigein Oppi Hoin Jo Barabar Se Chal Gayin.
Gash Kha Gaya Qadam Se Rakabein Nikal Gayin.
Kyun Kar Kahon Keh Arsh-e-Khuda Khak Par Gira.
Khair-Al-Nisa Ka Mah-e-Laqa Khak Par Gira.
Reti Pe Mustafa Ke Jigar Ka Lahu Gira.
Syed Gira Imam Gira Naik Khoon Gira.
Woh Zulm Ho Raha Tha Keh Dunya Ulatti Thi.
Jab Zair-e-Taig Gardan-e-Shabeer Katti Thi.
Woh Kund Taig Zainab-o-Zahra Pe Chalti Thi.
Matam Kuna Namaz Thi Our Khon Roti Thi.
Jari Thi Yeh Sada Keh Nabi Ka Nawasa Hoon.
Amma Pilao Pani Main Pyasa Hoon.
Ajab Ada Se Namazi Namaz Parh Ke Gaya.
Behan Ke Samne Nook-e-Sina Pe Charh Ke Gaya.
Nazar Mein Bhai Ke Sajday Ki Aab-o-Taab Jo Thi.
Behan Ne Sar Khulay Maqtal Mein Maghribain Parhi.
Nazar Ke Samne Har Mah-e-Laqa Ki Lash Rahi.
Magar Jalay Hoye Khaimon Ki Ja Namaz Bichi.
Gham-e-Hussain Ki Barchi Utha Gayi Zainab.
Magar Namaz Ki Dunya Basa Gayi Zainab.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2009-10:
#JahanHussainWahan
#NohayLyrics
#tajpoint
Jahan Hussain Wahan Page 2 Nadeem Sarwar