Halqoom Pe Taig-e-Jafa Yaad Rahe Gi Lyrics In Urdu 2021
Halqoom Pe Taig-e-Jafa Yaad Rahe Gi.
Mazloom Tabasum Ki Ada Yaad Rahe Gi.
Tan Se Hoi Gardan Jo Juda Yaad Rahe Gi.
Insaf Ko Na Haq Yeh Saza Yaad Rahe Gi.
-->
Aati Thi Marey Shehar Mein Pehle Bhi Magar Ab.
Jis Rang Mein Aayi Hai Qaza Yaad Rahe Gi.
Jo Taig-e-Jafa Mera Gala Kaat Rahi Hai.
Oss Taig Ko Bhi Haq Ki Sada Yaad Rahe Gi.
Har Door Mein Har Zulm Yehi Kehta Rahe Ga.
Main Hoon Tu Tumhein Karb-o-Bala Yaad Rahe Gi.
Sar Mera Tah-e-Taig Bhi Jhukney Nahi Paya.
Qatil Ko Marey Meri Haya Yaad Rahe Gi.
Darasal Tasalsul Hai :ASAD: Karb-o-Bala Ka.
Yeh Taza Shahadat Bhi Sada Yaad Rahe Gi.
Poet: :Asad Ali Asad:
#HalqoomPeTaig
#tajpoint
Halqoom Pe Taig-e-Jafa Yaad Rahe Gi Lyrics In Urdu 2021 Write Up Poster Image
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
