Zindaan Hai Sakina Hai Andhera Hai Jafa Hai Hasan Sadiq Lyrics Urdu 1994

Zindaan Hai Sakina Hai Andhera Hai Jafa Hai Hasan Sadiq Lyrics Urdu 1994

Zindaan Hai Sakina Hai Andhera Hai Jafa Hai Hasan Sadiq.

Kya Qabar Ka Manzar Hai Ujala Na Hawa Hai.

Neend Aati Nahi Bachoon Ko Jab Tak Na Ho Madar.
Pas Iss Ke Na Madar Hai Na Baba Na Chacha Hai.

Zindaan Mein Kisay Bali Sakina Ne Pukara.
Ik Lasha Sar-e-Karb-o-Bala Uthnay Laga Hai.

Abbas Chacha Aaeingay Ghar Le Ke Chalein Gay.
Ab Zulm-e-Yazeedi Ka Bharam Toot Raha Hai.

Khamosh Ho Kyun, Kyun Nahi Baba Ko Bolatein.
Tareeki-e-Zindaan Mein Yeh Zainab Ki Sada Hai.

Zakhmi Hai Badan Sara Khoon Kano Se Jari.
Rukhsar Bhi Neelay Hain Tu Daman Bhi Jala Hai.

Main Bali Sakina Ka Azadar Hoon :REHAN:.
Nohay Ka Har Ik Shair Sakina Ki Atta Hai.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 1994-95:

#ZindaanHaiSakinaHai
#NohayLyrics
#tajpoint

Zindaan Hai Sakina Hai Andhera Hai Jafa Hai Hasan Sadiq Lyrics Urdu 1994 Write Up Poster Image

Zindaan Hai Sakina Hai Andhera Hai Jafa Hai Hasan Sadiq Lyrics Urdu 1994

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!