Salam Umm ul Baneen Lyrics In Urdu Mir Sajjad 2020

Salam Umm ul Baneen Lyrics In Urdu Mir Sajjad 2020

Salam Umm ul Baneen Lyrics In Urdu

Umm Ul-Banin Deen-e-Khuda Ka Nisab Hai.
Iss Ki Fazeelaton Ka Bhala Kab Hisab Hai.
Kaisay Ehaatah Ho Ke Samandar Ka Aab Hai.
Yani Har Ik Sawal Ka Bas Yeh Jawab Hai.
Hai Iss Ki Bargah Mein Midhat Guzar Chand.
Iss Ne Ali Ke Ghar Ko Lagaye Hain Chaar Chand.

Ghar Mein Ali Ke Aaein Tu Pehla Kiya Yeh Kam.
Chokhat Pakar Ke Bint-e-Nabi Ko Kiya Salam.
Boli Kaneez Aayi Hai Iss Ghar Ke Karne Kam.
Dein Izn Aap Aapke Ghar Mein Karon Qiyam.
Parhti Hoi Darood Woh Zahra Ki Yaad Mein.
Baab-e-Hawaij Aa Gayi Sehan-e-Murad Mein.

Zainab Ke Kam Karna Ibadat Samajh Liya.
Kachay Makaan Ko Dein Ki Amarat Samajh Liya.
Har Gaam Tang Dasti Ko Naimat Samajh Liya.
Maula Ki Baat Baat Ko Aayat Samajh Liya.
Saye Ko Inn Ke Apni Amma Bolne Lagay.
Zahra Ke Ladlay Inhein Maa Bolne Lagay.

Ik Din Woh Din Bhi Aaya Keh Tha Jis Ka Intezar.
Ghar Mein Ali Ke Aa Gaye Abbas-e-Namdar.
Shehzadi Shukar Karti Thin Khaliq Ka Bar Bar.
Khud Arsh Pochta Tha Ke Hai Kaun Zee Waqar.
Umm Ul-Baneen Hai Kaun Si Dolat Liye Hoye.
Phailaye Hath Maula Ali Hain Kharey Hoye.

Mansab Jahan Mein Sab Se Anokha Mila Inhein.
Zahra Ki Khuwaishon Ka Khulasa Mila Inhein.
Had Ho Gayi Wafaon Ka Kaba Mila Inhein.
Beta Nahi Nabi Ka Nawasa Mila Inhein.
Sorat Mein Apne Betay Ki Rab Ka Wali Diya.
Yeh Bibi Woh Hai Jis Ne Ali Ko Ali Diya.

Le Kar Pisar Ko Gaud Mein Maula Ke Phir Kaha.
Shadi Se Pehle Main Ne Yeh Ik Khuwab Dekha Tha.
Aaya Tha Meri Gaud Mein Woh Chand Arsh Ka.
Ab Ja Ke Iss Kaneez Pe Yeh Raaz Hai Khula.
Woh Chand Kab Tha Aap Ka Akas Aaya Tha.
Madar Se Milney Khuwab Mein Abbas Aaya Tha.

Zahra Ko Unn Ke Beton Ka Hubdar De Diya.
Haider Ko Phir Se Jafar-e-Tayyar De Diya.
Shabar Ko Aik Our Wafadar De Diya.
Shabeer Ko Tu Foaj Ka Salar De Diya.
Yaad Aaye Ga Rasool Ke Naib Ka Bachpana.
Dekhein Gay Panjtan Abu Talib Ka Bachpana.

Ghazi Ko Iss Ne Wadah Nibhana Sikha Diya.
:SAJJAD: Iss Ne Dein Ko Bachana Sikha Diya.
Bachpan Mein Hi Alam Ko Uthana Sikha Diya.
Nazron Se Dushmano Ko Darana Sikha Diya.
Batees Saal Tak Woh Jiya Iss Jalal Se.
Koi Nazar Mila Na Saka Iss Ke Lal Se.

Poet: :Mir Sajjad Mir:
Manqabat Khowan: :Mir Sajjad Mir:
Manqabat Volume: :Mir Sajjad Mir 2020-21:
Composition: :Mir Sajjad Mir:

#SalamUmmulBaneen
#ManqabatLyrics
#tajpoint

New Manqabat Salam Umm ul Baneen Lyrics In Urdu

Bibi Ummul Banin Manqabat Salam Umm ul Baneen Lyrics In Urdu

Salam Umm ul Baneen Lyrics In Urdu Mir Sajjad 2020 Write Up Poster Image

Salam Umm ul Baneen Lyrics In Urdu Mir Sajjad 2020

Video Link
error: Content is protected !!