Madar-e-Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Madar-e-Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

السلام مادرِ عباسؑ

Umm Ul-Banin Madar-e-Abbas-e-Bawafa.
Umm Ul-Banin Arzu-e-Bint-e-Mustafa.
Umm Ul-Banin Khuwaish-e-Sultan-e-Auliya.
Umm Ul-Banin Inn Ka Laqab Naam Fatima.
Ho Kar Batool Aayi Hain Ghar Mein Batool Ke.
Palein Gi Gaud Mein Yeh Nawasay Rasool Ke.
Umm Ul-Banin Azmat-e-Haq Ka Shabab Hain.
Ismat Ke Gulistaan Mein Wafa Ka Ghulab Hain.
Chashm-e-Janab-e-Zahra Ka Yeh Intehab Hain.
Haider Abu Turab Yeh Umm Al-Turab Hain.
Bait-e-Sharf Mein Noor-e-Ayyaan Ban Ke Aayi Hain.
Zahra Ki Betiyon Ki Yeh Maa Ban Ke Aayi Hain.
Zahra Ki Betiyon Ka Dilasa Bani Hain Yeh.
Anwar-e-Kibriyai Ka Hissa Bani Hain Yeh.
Aysar Our Khalos Ka Darya Bani Hain Yeh.
Saqa-e-Ahl-e-Bait Ki Saqqa Bani Hain Yeh.
Konain Ki Wafaon Ka Hi Tarjumaan Kaha.
Inn Ko Nabi Ki Beti Ne Beton Ki Maa Kaha.
Yeh Azmaton Mein Azmat-e-Haq Ka Nishan Hain.
Yani Khuda Ke Razoon Ki Yeh Razdan Hain.
Yeh Masjid-e-Wila Mein Wafa Ki Azan Hain.
ALLAH Ki Zaban Ki Yeh Hum Zaban Hain.
Thama Hai Anbiya Ne Jisay Mushkilaat Mein.
ALLAH Ka Woh Hath Bhi Hai Inn Ke Hath Mein.
Jo Kuch Mila Naseeb Se Barh Kar Mila Inhein.
Darbaan Malaika Jahan Woh Dar Mila Inhein.
Socho Zara Yeh Kaisa Muqadar Mila Inhein.
Zahra Ke Baad Zahra Ka Hi Ghar Mila Inhein.
Haan Woh Ali Jo Aouj-e-Had-e-Mumkinaat Hai.
Oss La Shareek Ki Yeh Shareek-e-Hayat Hai.
Iss Ki Misal Kiya Ho Keh Yeh Be Misal Hai.
Yeh Hum Khiyal-e-Rab Ke Liye Hum Khiyal Hai.
Dono Jahan Mein Sirf Yeh Iss Ka Kamal Hai.
Beta Issi Ka Fatima Zahra Ka Lal Hai.
Bint-e-Nabi Ke Bachoon Ka Sadqa Nikal Kar.
Iss Ne Diya Hussain Ko Abbas Paal Kar.
Khaili Hai Bint-e-Shair-e-Khuda Iss Ki Gaud Mein.
Aa Kar Sakon Dein Ko Mila Iss Ki Gaud Mein.
Yeh Bhi Hai Ik Khuda Ki Atta Iss Ki Gaud Mein.
Utari Hai Syeda Ki Dua Iss Ki Gaud Mein.
Akas-e-Zuljalal Ke Akas Ke Liye.
Yeh Gaud Muntahib Hoi Abbas Ke Liye.
Bunyad-e-Ishq-o-Sabar-o-Raza Dalti Rahi.
Gham Sani-e-Batool Ka Yeh Talti Rahi.
Kirdar Karbala Ke Liye Dhalti Rahi.
Jholi Mein Apni Rab-e-Wafa Palti Rahi.
Batil Muqadron Ke Liye Phair Kar Diya.
Jis Ko Pilaya Sheer Ossay Shair Kar Diya.
Quran-e-Ahl-e-Bait Ka Yeh Bhi Hain Ik Waraq.
Inn Ki Tajaliyaat Munawar Shafaq Shafaq.
Aisay Ada Kiya Hai Dar-e-Syeda Ka Haq.
Abbas Ko Parhaya Wafaon Ka Har Sabaq.
Karb-o-Bala Ka Jafar-e-Tayyar Kar Diya.
Bachpan Mein Hi Jarri Ko Alamdar Kar Diya.
Konain Ki Nijat Hain Abbas Ki Hain Maa.
Wallah Pak Zaat Hain Abbas Ki Hain Maa.
Ik Haq Ki Kainat Hain Abbas Ki Hain Maa.
Halal-e-Mushkilaat Hain Abbas Ki Hain Maa.
Hain Munfarid Zamano Se Apni Wafaon Mein.
Abbas Ki Bahisht Hai Iss Maa Ke Paon Mein.
Poet: :Noor Ali Noor:
Manqabat Khuwan: :Rizwan Zaidi:
Manqabat Volume: :Rizwan Zaidi 2020-21:
Composition: :Rizwan Zaidi:
#MadareAbbas
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

error: Content is protected !!