Umm e Kulsoom Rizwan Zaidi Lyrics In Urdu

Umm e Kulsoom Rizwan Zaidi Lyrics In Urdu

اُمِ کلثومؑ

Zainab-e-Sughra, Umm-e-Kulsoom.
Aayat-e-Rab Ka Ik Unwan Hain Umm-e-Kulsoom.
Dil-e-Zahra Ka Hi Arman Hain Umm-e-Kulsoom.
Karbala Hi Ki Nigehban Hain Umm-e-Kulsoom.
Sar Ba Sar Sorah-e-Rehman Hain Umm-e-Kulsoom.
Aouj Par Sahib-e-Masnad Hi Nazar Aayi Hain.
Yeh Tu Zainab Ko Bhi Zainab Hi Nazar Aayi Hain.
Misal-e-Zainab Hain Wilayat Ka Asasa Yeh Bhi.
Bar Sar-e-Sham Sunati Gayin Khutba Yeh Bhi.
Misal-e-Zainab Hi Ali Ka Hain Sarapa Yeh Bhi.
Choti Zainab Hain So Hain Sani-e-Zahra Yeh Bhi.
Aayat-e-Zainab-e-Kubra Ke Mani Kulsoom.
Jis Ka Sani Hi Nahi Oss Ki Hai Sani Kulsoom.
Paikar-e-Syeda Zahra Mein Dhali Hain Kulsoom.
Gaud Mein Umm-e-Abeeha Ke Pali Hain Kulsoom.
Bag-e-Tauheed-o-Risalat Ki Kali Hain Kulsoom.
Rab-e-Haider Ki Qasam Rab Ki Wali Hain Kulsoom.
Waar Batil Ka Khud Oss Par Hi Palat Sakti Hai.
Yeh Bhi Zainab Ki Tarha Sham Ulat Sakti Hai.
Katib-e-Loh Ki Tehreer Hain Umm-e-Kulsoom.
Sani-e-Zainab-e-Dilgeer Hain Umm-e-Kulsoom.
Karbala Khuwab Hai Tabeer Hain Umm-e-Kulsoom.
Yani Abbas Ki Humsheer Hain Umm-e-Kulsoom.
Aik Hi Lehjay Mein Sab Rab Ke Wali Boltay Hain.
Yeh Bhi Jab Bolein Tu Lagta Hai Ali Boltay Hain.
Syeda Zahra Ka Izhar Hain Umm-e-Kulsoom.
Sabar Ka Matla e Anwar Hain Umm-e-Kulsoom.
Noor-e-Tauheed Se Sarshar Hain Umm-e-Kulsoom.
Shair-e-ALLAH Ki Talwar Hain Umm-e-Kulsoom.
Aayat-e-Rab Thi So Juzdan Se Nikli Hi Nahi.
Yeh Woh Talwar Hai Jo Mayan Se Nikli Hi Nahi.
Dono Behnein Rukh-e-Tauheed Ki Tanveerein Hain.
Karbala Walon Ke Sab Khuwabon Ki Taberein Hain.
Inn Ke Bais Hi Tu Islam Ki Tauqeerein Hain.
Aik Quran-e-Shahadat Ki Yeh Tafseerein Hain.
Aks-e-Tauheed Ki Akas Nazar Aati Hai.
Ik Ali Dosri Abbas Nazar Aati Hai.
Dono Behno Ka Sukhan Aik Hai Guftar Hai Aik.
Inn Ki Rag Rag Mein Rawaan Khon Ki Raftar Hai Aik.
Aik Hi Azm e Shujat Bhi Hai Kirdar Hai Aik.
Hastiyaan Do Hain Magar Dono Ka Izhar Hai Aik.
Har Taraf Sham Mein Jo Maut Ke Yeh Saye Hain.
Do Ali Sham Ulatney Ke Liye Aaye Hain.
Koi Samjha Hi Nahi :NOOR ALI: Inn Ka Maqam.
Zehan e Insaan Pe Nahi Khul Saka Inn Ka Ilham.
Bas Issi Baat Pe Kar :NOOR ALI: Baat Tamam.
Ik Behan Fatah-e-Kofa Hai Tu Ik Fatah-e-Sham.
Dein Jo Zindah Hai Tu Iss Dein Ki Jila Hain Dono.
Yani Haider Ki Namazon Ka Sila Hain Dono.
Poet: :Noor Ali Noor:
Manqabat Khuwan: :Rizwan Zaidi:
Manqabat Volume: :Rizwan Zaidi 2023-24:
Composition: :Rizwan Zaidi:
#UmmeKulsoom
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!