Suno Zahra Ke Ehsan Lyrics In Urdu 2007 Mir Hasan
Suno Zahra Ke Ehsan Lyrics In Urdu Write Up
Zahra Teri Jageer Hai Janat Bhi Fidak Bhi.
Yeh Jabal Yeh Ashjar Yeh Pani Yeh Falak Bhi.
Shohar Ki Taraf Se Hai Ghulami Mein Malak Bhi.
Bibi Tere Haq Mehar Mein Shamil Hai Namak Bhi.
Bas Teri Zameeno Pe Basi Jati Hai Dunya.
Sadiyon Se Faqat Tera Namak Khati Hai Dunya.
Iss Ke Ghar Mein Hi Tu Charha Hai Deen-e-Nabi Parwan.
Khush Hota Hai Khaliq-e-Akbar Sun Ke Midhat Zahra Ki.
Hafiz-e-Quraan Tu Kya Jane Kya Hai Azmat Zahra Ki.
Khud Quran Ne Inn Se Seekha Hai Parhna Quran.
Zair-e-Kisa Jab Noor Ke Har Mansab Ka Taruf Hota Hai.
Tab Khaliq Bhi Fatima Zahra Ka Hi Sahara Leta Hai.
Noor Ke Har Mansab Ki Hai Goya Zahra Se Pehchan.
Apne Hoon Woh Ya Keh Paraye Sab Ne Baat Yeh Mani Hai.
Zahra Ke Beton Ne Kal Bhi Deen Ki, Ki Nigrani Hai.
Aaj Bhi Zahra Ka Ik Beta Deen Ka Hai Nigran.
BiBi Khadija Ne Kal Tak Tum Sab Ke Baron Ko Pala Tha.
Aaj Ke Kalma Goyon Tum Ko Palney Wali Hain Zahra.
Bag-e-Fidak Ke Dar Par Ja Kar Kehta Tha Salman.
Rehmat-e-Aalam Ki Beti Thi Iss Liye Khud Ko Rook Liya.
Ghaiz Mein Gar Aa Jati Logo Shair-e-Elahi Ki Zojah.
Ik Lamhey Mein Shehar-e-Madina Ban Jata Shamshan.
Aye Najran Ke Rehne Walo Esa Ke Kalma Goyo.
Tum Maidan Mein Aaj Ossi Bibi Ke Muqabil Aaye Ho.
Mariyam Ko Khairat Mein Jis Ne Ismat Ki Hai Daan.
Bait-e-Khuda Veeran Para Tha Logo Aik Zamane Se.
Jan Faqat Iss Mein Aayi Hai Marey Ali Ke Aane Se.
Our Ali Ke Ghar Ko Bakhshi Hai Zahra Ne Jan.
Mujh Ko Yehi Lagta Hai :AKBAR: Hashar Ka Din Jab Aaye Ga.
Khat Ik Khaliq-e-Akbar Ki Janib Se Sunaya Jaye Ga.
Rab Ke Oss Norani Khat Ka Ho Ga Yehi Unwan.
Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2007-08:
#SunoZahraKeEhsan
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Mir Hasan Mir Suno Zahra ke Ehsan Lyrics In Urdu