Zafar-e-Jinn Lyrics In Urdu and Roman Urdu
انّا زعفرِ جن
Anna Zafar-e-Jin.
Ghulam-e-Fatah-e-Beer Al-Alam Main Zafar Hoon.
Qaum-e-Jinnat Ka Shah-e-Ummam Main Zafar Hoon.
Khas Mujh Par Hai Ali Ka Karam Main Zafar Hoon.
Aaj Rota Hoon Magar Tham Kar Apna Jigar.
Dasht Mein Mara Gaya Mere Aaqa Ka Pisar.
Hai Yeh Afsoos Main Mojood Raha.
Jan Maula Pe Fida Kar Na Saka Haye Kuch Kar Na Saka.
Suno Main Tum Ko Batata Hoon Waqiya Jo Howa.
Rooz-e-Ashor Tha Phaila Howa Tha Raaj Mera.
Woh Mere Jashan Ka Din Tha Saja Tha Taj Mera.
Do Ghulamo Ne Mere Aa Ke Kaha Aye Malik.
Jis Ke Baba Ke Sabab Taj Mila Aye Malik.
Qatal Hota Hai Jo Malik Hai Tera Aye Malik.
Ho Gaya Hashar Bapa Taj Pairon Mein Gira.
Apne Lashkar Ko Liye Main Chala Karb-o-Bala.
Meri Parwaz Hoi Shehar-e-Musayyab Pe Tamam.
Mujh Ko Ta Had-e-Nazar Aaya Nazar Lashkar-e-Sham.
Main Barha Aagay Keh Mil Jaein Mujhe Mere Imam.
Ruk Gaye Mere Qadam, Ruk Gaye Mere Qadam.
Jahan Shabeer Ko Insano Ne Tanha Dekha.
Meri Aankhon Ne Wahan Lakhon Ka Majma Dekha.
Anbiya Bhi They Malaik They Ajina They Kharey.
Aisay Norani Bashar They Ke Nazar Na Thehrey.
Aik Janib They Rasool-e-Arbi.
Aik Janib They Ali.
Aik Janib They Hasan Ibn-e-Ali.
Phir Na Aankhon Ko Mere Taab Rahi.
Main Ne Zahra Ki Sawari Dekhi.
Apni Nazron Ko Jhuka Kar Jo Hataya Pichey.
Nabi Aadam Nabi Mosa Nabi Haroon Dikhey.
Esa-o-Yousuf-o-Yaqoob Bhi Pehlu Mein Miley.
Hood Our Lut Kahin Nooh Kahin Khizar Kahin.
Zakariya Yemya Our Shees-o-Suleman Bhi They.
Mukhtasir Yeh Keh Nabi Sare Wahan They Mojood.
Unn Ke Pichey Thi Malaik Ki Qatarein Mojood.
Farishtgan-e-Jahanum Farishtgan-e-Bahisht.
Izraeel Israfeel Mikaeel Dardail.
Rizwan Our Malik Fitrus-o-Jibraeel.
Sath Shabeer Ke Mojood They Sab Aali Maqam.
Main Ne Socha Ke Kahan Jaye Bhala Adna Ghulam.
Mujh Ko Pehchan Bhi Paein Ya Nahi Mere Imam.
Haye Umeed Meri Dil Mein Murjhaney Lagi.
Keh Achanak Se Wahan Yeh Sada Aane Lagi.
Aao Zafar Tumhein Shabeer Ne Bulwaya Hai.
Pohancha Qadmo Mein Kaha Maula Sheh-e-Jin-o-Bashar.
Ho Salam Aap Pe Iss Jin Ka Sheh-e-Jin-o-Bashar.
Hukam Pe Aap Ke Hoon Fidya Sheh-e-Jin-o-Bashar.
Dil Mera Doob Gaya Jab Yeh Maula Ne Kaha.
Tum Palat Jao Agar Hone Aaye Ho Fida.
Main Ne Maula Se Kaha Izn Mujhe Dein Sheh-e-Deen.
Bolay Shabeer Yeh Jinnat Ki Hai Jang Nahi.
Main Yeh Bola Kahan Insaan Hain Darinday Hain Sabhi.
Bolay Shabeer Ke Nana Ki Yeh Ummat Hai Meri.
Inhein Tum Kuch Na Kaho Inhein Tum Kuch Na Kaho.
Tum Hi Batlao Jiyon Kaisay Bhala Main Zafar.
Aao Dikhlaon Tumhein Karb-o-Bala Main Zafar.
Janisaron Ke Janazay Dekho.
Mere Pyaron Ke Yeh Lashay Dekho.
Tukray Qasim Ka Sarapa Dekho.
Zakhmi Akbar Ka Kaleja Dekho.
Kahin Abbas Ke Bazu Kahin Asghar Ka Galu.
Ran Mein Bikhra Hai Sabhi Bani Hashim Ka Lahu.
Dil Ko Ab Taab Nahi Phatney Laga Hai Yeh Jigar.
Iss Se Aagay Main Biyaan Kar Nahi Sakta Manzar.
Mukhtasir Yeh Keh Hoye Qatal Sheh-e-Jin-o-Bashar.
Wadah Abid Se Kiya Main Hoon Masroof-e-Azza.
Jab Talak Zindah Raha Main Karon Ga Giriya.
Tha Yehi :MEESUM-o-SALMAN: Kalam-e-Zafar.
Karbala Mein Hain Jahan Dafan Imam-e-Zafar.
Oss Se Kuch Door Hai Mojood Maqam-e-Zafar.
Zafar-e-Jin Ne Kiya Apne Waday Ko Wafa.
Aakhri Sans Talak Thi Labon Par Yeh Sada.
Poet: :Salman Azmi:
Noha Khuwan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2018-19:
Composition: :Raza Shah,Mesum Abbas:
#ZafareJinn
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com