Amma Fizza Bata De Mujh Ko Pathar Kyun Aa Rahe Hain Lyrics 2004
Amma Fizza Bata De Mujh Ko Pathar Kyun Aa Rahe Hain Mir Hasan Mir
Kya Sham Aa Gaya Hai.
Amma Fizza Bata De Mujh Ko Pathar Kyun Aa Rahe Hain.
Kaisa Hai Yeh Charagaan Dil Dobay Ja Rahe Hain.
Hone Lagi Azanein Kaisay Saron Ko Dhanpein.
Bazu Bandhay Hoye Hain Khoon Ro Rahi Hain Aankhein.
Aankhon Ke Khoon Se Rastay Khoon Mein Naha Rahe Hain.
Sajjad Ka Kaleja Sad Pash Ho Raha Hai.
Ik Aik Zakhm Inn Ka Iss Gham Mein Ro Raha Hai.
Zainab Ka Naam Le Kar Aada Bola Rahe Hain.
Naizon Pe Jitnay Sar Hain Ik Sar Hai Unn Mein Aisa.
Aankhein Hain Band Oss Ki Our Khak Par Hai Girta.
Abbas Ka Yeh Sar Hai Tewar Bata Rahe Hain.
Itna Chaley Hain Paidal Kanton Pe Sare Qaidi.
Thak Jati Chalte Chalte Chalti Agar Zameen Bhi.
Pairon Ke Aablay Bhi Aanso Baha Rahe Hain.
Hain Loag Kis Tarha Ke Hum Se Dua Karaein.
Aye Qaidiyo Dua Do Yeh Din Na Hum Pe Aaein.
Le Kar Duaein Hum Se Dil Bhi Dukha Rahe Hain.
Maon Ki Godiyon Se Liptay Hoye Hain Bachay.
Hain Hath Rasiyon Mein Maon Se Aisay Jakrey.
Bachay Jo Gir Rahe Hain Woh Martay Ja Rahe Hain.
Naizay Pe Ro Raha Hai Mushkil Kusha Ka Beta.
Na Mehramo Ke Lab Par Aaya Hai Naam Mera.
Mujh Ko Kaneez Zaday Youn Bhi Rula Rahe Hain.
Kyun Qafila Ruka Hai Bajtay Hain Shadiyaney.
Lehra Rahe Hain Aada Khush Ho Ke Taziyane.
Kyun Jashan Ka Samaa Hai Sab Muskura Rahe Hain.
Karne Laga Tilawat Naizay Pe Ibn-e-Haider.
Namoos-e-Mustafa Ke Sar Pe Nahi Hai Chadar.
Nazron Ko Ashqiya Ki Sarwar Hata Rahe Hain.
:REHAN: Qaidiyon Mein Barpa Tha Shor-e-Giriya.
Palkon Se Kar Rahi Thin Matam Jo Bint-e-Zahra.
Sajjad Noha Khuwaan Hain Noha Suna Rahe Hain.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2003-04:
Composition: :Raza Shah:
#AmmaFizzaBataDeMujhKo
#NohayLyrics
#tajpoint