Haye Khadijatul Kubra Ashfaq Merchant Lyrics In Urdu and Roman Urdu
ہائے خدیجۃالکبریؑ
Do Jahan Mein Matam Hai Rehlat-e-Khadija Se.
Farsh-o-Arsh Par Gham Hai Rehlat-e-Khadija Se.
Saal Bhar Bichay Ga Ab Farsh-e-Majlis-o-Matam.
Ahl-e-Bait Ke Ghar Mein Hoga Hashar Ka Aalam.
Chashm-e-Fatima Nam Hai Rehlat-e-Khadija Se.
Iss Alam Ka Bibi Ke Dil Pe Hai Asar Gehra.
Chal Basi Zamane Se Aaj Madar-e-Zahra.
Muztarib Yeh Aalam Hai Rehlat-e-Khadija Se.
Kaun Kalma Goyon Ko Ghurbaton Mein Palay Ga.
Kaun Ab Muhammad Ko Karb Mein Sanbhalay Ga.
Pusht-e-Mustafa Khum Hai Rehlat-e-Khadija Se.
Maa Ki Tarha Bibi Ko Kul-e-Haq Ne Jab Khoya.
Haan Ali Sa Sabir Bhi Phoot Phoot Kar Roya.
Jari Ashk-e-Paihum Hai Rehlat-e-Khadija Se.
Lo Janaza Uthta Hai Aaj Umm-e-Zahra Ka.
Zarrah Zarrah Rota Hai Aaj Shehar-e-Maka Ka.
Kainat Be Dam Hai Rehlat-e-Khadija Se.
Gham Hai Daswein Rozay Mein Jaisay Das Muharram Ka.
Hath Khud Hi Matam Ko Utha Ahl-e-Matam Ka.
Haan Azza Ka Mosam Hai Rehlat-e-Khadija Se.
Har Taraf Se Chalti Hai Gham Ki Aandhiyaan :HAMID:.
Ahl-e-Bait Ke Ghar Mein Ab Khushi Kahan :HAMID:.
Gham Hi Gham Muqaddam Hai Rehlat-e-Khadija Se.
Poet: :Allama Sayed Ali Hamid Jafari:
Noha Khuwan: :Ashfaq Merchant:
Noha Volume: :Ashfaq Merchant 2016-17:
#HayeKhadijatulKubra
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com