Ali Haq Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Ali Haq Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

علی حق

Bijli Ki Garj Hai Lehjay Mein.
Qadmo Ki Dhamak Se Maut Tali.
Lalkar Raha Hai Qehar-e-Khuda.
Ya Bool Raha Hai Shair-e-Jali.
Kul Ka Madadgar Ali, Haider-e-Karrar Ali.
Syed-o-Sardar Ali Maula, Ali Haq Ali.
Aaya Muhammad Se Alam Taig Khuda Se.
Jo Na Kabhi Pichey Hata Dasht-e-Wiga Se.
Teer Se Talwar Se Jurat Se Wafa Se.
Jeeta Nahi Koi Kabhi Shair-e-Khuda Se.
Har Ghari Teyar Ali, Jeet Ka Maymar Ali.
Safdar-o-Jarrar Ali Maula.
Jis Pe Paray Koi Musibat Woh Pukarey.
Mera Ali Deta Hai Dunya Ko Saharey.
Bigray Hoye Kam Yehi Sab Ke Sanwarey.
Iss Ke Isharon Pe Chaley Chand Sitarey.
Kya Hai Dil-o-Jan Ali, Tujh Pe Hoon Qurban Ali.
Buzar-o-Salman Ali Maula.
Sorah-e-Al-Hamd Ka Paigham Ali Hai.
Dekhiye Tafseer Walikram Ali Hai.
Sab Ka Madadgar Har Ik Gaam Ali Hai.
Chand Pe Likha Howa Ik Naam Ali Hai.
Har Jagah Mojood Ali, Shahid-o-Mashood Ali.
Kabay Ka Molood Ali Maula.
Haan Yeh Mere Maula Ali Ka Hai Muqadar.
Jis Ki Wiladat Ke Liye Rab Ne Diya Ghar.
Qibla-e-Aalam Hai Zacha Khana-e-Haider.
Mil Ke Lagatay Raho Ab Kabay Ke Chakar.
Kabay Ki Dewar Ali, Kehti Hai Har Bar Ali.
Tu Hai Mera Pyar Ali Maula.
Mera Eman Ali, Meri Pehchan Ali.
Mera Quran Ali, Mera Sultan Ali.
Mera Kalma Bhi Ali, Mera Sajdah Bhi Ali.
Mera Qibla Bhi Ali, Mera Kaba Bhi Ali.
AinULLAH Ali Ali, WajahULLAH Ali Ali.
WaliULLAH Ali Ali, AsadULLAH Ali Ali.
Zaat-e-Khuda Zaat-e-Muhammad Ki Qasam Hai.
Mera Ali Deen-o-Shariyat Ka Bharam Hai.
Aik Nahi Chaar Sahefon Mein Raqam Hai.
Jitni Bhi Tauseef Likhi Jaye Woh Kam Hai.
Sara Hi Quran Ali, Barsar-e-Maidan Ali.
Deen Ka Sultan Ali Maula.
Pyason Ke Liye Aas Jo Saqqa Tha Ali Tha.
Darya Ke Kinaray Bhi Jo Pyasa Tha Ali Tha.
Pamal Sar-e-Dasht Jo Dulha Tha Ali Tha.
Shabeer Ke Hathoon Pe Jo Bacha Tha Ali Tha.
Dasht Ka Mehman Ali, Deen Pe Qurban Ali.
Bolta Quran Ali Maula.
Zainab Ki Khatabat Mein Ali Bool Rahe They.
Abid Ki Ibadat Mein Ali Bool Rahe They.
Sadaat Ki Himmat Mein Ali Bool Rahe They.
Jazboon Ki Taharat Mein Ali Bool Rahe They.
Barsar-e-Bazar Ali, Barsar-e-Darbar Ali.
Qafila Salar Ali Maula.
Narah-e-Salman Ali, Meesumi Ayelan Ali.
Deen Ki Pehchan Ali, Deen Ki Hai Shan Ali.
Mazhar-e-Yazdan Ali.
Ali Ali Ali, Ali Haq Ali.
Kul Ka Madadgar Ali, Haider-e-Karrar Ali.
Syed-o-Sardar Ali Maula, Ali Haq Ali.
Poet: :Mazhar Abidi:
Noha Khuwaan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2022-23:
Composition: :Mazhar Abidi,Mesum Abbas:
#AliHaq
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!