Do Shahzaday Hain Aun-o-Muhammad Sabeeh Hassan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
دو شہزادے ہیں عونؑ و محمدؑ
Do Shehzaday Hain Aoun-o-Muhammad Karb-o-Bala Mein Marey Gaye.
Zainab Ke Dono Betay Tu Shabeer Ki Khatir Palay Gaye.
Hai Maa Ki Hasrat Maqtal Mein Jafar Ki Amanat Cha Jaye.
Phir Sheh Ke Hathoon Nana Ke Nanhay Se Amamay Bandhay Gaye.
Khaimay Mein Sar Jab Aaye Tu Har Ik Ki Maa Ne Giriya Kiya.
Lekin Na Inn Ko Roya Koi Jab Nanhay Do Sar Laye Gaye.
Jafar Ki Sorat Mein Bachay Ran Mein Kartay Hain Haq Bhi Ada.
Maa Takti Rahi Ghorey Lashon Pe Jaisay Hi Doraye Gaye.
Sarwar Ki Zaeefi Aisi Keh Chalte Chalte Ruk Jate Hain.
Yeh Jane Rab Kin Hathoon Se Bachoon Ke Lashay Laye Gaye.
Ik Maa Ki Mamta Jaag Uthi Jab Dekhey Musalay Hujray Mein.
Dukhyari Maa Bolay Kis Se Kyun Aal-e-Nabi Tarpaye Gaye.
Ya Rab Ne Umm-e-Musayab Ke Sadqay Mein :HASAN: Ko Aisi Di.
Woh Goyai Sab Roye Jab Ashar-e-Noha Sunaye Gaye.
Poet: :Sabeeh Hasan Zaidi:
Noha Khuwan: :Sabeeh Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Sabeeh Hasan Zaidi 2020-21:
#DoShahzadayHainAunoMuhammad
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com