Karbala Ki Sawariyaan Syed Wajhi Hasan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
یہ کربلا کی ہیں سواریاں
Aye Momino Ajeeb Sa Dekha Hai Aik Khuwab.
Mehway Sukhan Hain Ashal-o-Memoon Our Uqab.
Qudsi Falak Se Aaye Hain Sunney Ko Yeh Khitab.
Hai Iss Mufakhiray Ka Har Ik Lafz La Jawab.
Teenu Ke Lab Pe Yeh Sukhan-e-La Kalam Hain.
Hum Nasir-e-Hussain Alh Aslam Hain.
Kehte Hain Hum Pe Khas Karam Hai Hussain Ka.
Saya Figan Saron Pe Alam Hai Hussain Ka.
Dil Pe Hamarey Naam Raqam Hai Hussain Ka.
Apna Tu Kaba Naqsh-e-Qadam Hai Hussain Ka.
Hum Moatbar Hain Ibn-e-Ali Ki Nigah Mein.
Shamil Hamara Khon Bhi Hai Sajdah Ga Mein.
Khak-e-Rah-e-Hussain Se Dhalay Gaye Hain Hum.
Noor-e-Nigah-e-Sheh Se Ujalay Gaye Hain Hum.
Sanbhlay Hoye They Our Sanbhalay Gaye Hain Hum.
Karb-o-Bala Ke Wastay Palay Gaye Hain Hum.
Nisbat Jo Ho Gayi Hai Sheh-e-Mashreqain Se.
Zindah Hamara Naam Rahe Ga Hussain Se.
Memoon Keh Raha Tha Keh Dekho Mera Nikhar.
Jis Ki Hoon Main Sawari Sawaron Mein Sheh Sawar.
Mere Sawar Ne Hi Kiya Mujh Ko Ba Waqar.
Dekho Keh Khushboon Ne Kiya Hai Mera Haisar.
Qasim Ko Apni Pusht Pe Jab Main Uthaon Ga.
Kal Main Bhi Apne Mathay Pe Sehra Sajaon Ga.
Ashal Yeh Bola Main Hoon Wafadar Ke Liye.
Duldul Sift Hoon Sani-e-Karrar Ke Liye.
Yeh Baat Hai Bohat Marey Kirdar Ke Liye.
Pala Mujhe Ali Ne Alamdar Ke Liye.
Soraj Ki Roshni Bhi Marey Aagay Maand Hai.
Mera Sawar Tu Bani Hashim Ka Chand Hai.
Youn Lab Kusha Howa Ali Akbar Ka Phir Uqab.
Hum Sab Hain Khadman-e-Janab-e-Abu Turab.
Jibreel Sa Malak Bhi Raha Mera Hum Rakab.
Akbar Ki Nojawani Ne Bakhsha Mujhe Shabab.
Main Hoon Uqab Rehta Hoon Mehway Oraan Main.
Akbar Ke Sath Sath Howa Hoon Jawan Main.
Jari Mufakhra Tha Keh Aa Pohancha Zuljinah.
Dali :WAJIH: Sab Pe Barey Naaz Se Nigah.
Phir Bola Zuljinah Keh Tum Ho Meri Sipah.
Rakhna Khiyal Kal Bari Mushkil Hai Sab Ki Rah.
Kal Karna Haq Ada Youn Janab-e-Batool Ka.
Ho Jaye Tum Se Razi Nawasa Rasool Ka.
Murtajiz Naam Hai Shabeer Ka Rahwar Hoon Main.
Noor-e-Awwal Ki Qasam Shamil-e-Anwar Hoon Main.
Khud Wafadar Yeh Kehte Hain Wafadar Hoon Main.
Merey Hum Jins Jo Hain Unn Ka Alamdar Hoon Main.
Jab Se ALLAH Ne Iss Dar Ki Ghulami Di Hai.
Mujh Ko Aa Aa Ke Farishto Ne Salami Di Hai.
Shair-e-ALLAH Se Payi Hai Shujat Main Ne.
Sath Shabeer Ke Ki Deen Ki Nusrat Main Ne.
Payi Kuch Iss Liye Aalam Mein Yeh Azmat Main Ne.
Ki Hai Shabeer-o-Alamdar Ki Baiyat Main Ne.
Dil-e-Momin Mein Sada Meri Aqeedat Hogi.
Hashar Tak Meri Shabiyon Ki Ziyarat Hogi.
Zuljinah Karta Hai Aye :NOOR ALI: Ab Yeh Kalam.
Sath Qayam Ke Karon Ga Main Sar-e-Dehar-e-Qiyam.
Sare Aalam Ko Samajh Aaye Ga Tab Mera Maqam.
Jab Meri Pusht Pe Aaye Ga Zamane Ka Imam.
Chashm-e-Aa Gah Ko Main Deed Panahi Doon Ga.
Main Unhein Sare Shaheedon Ki Gawahi Doon Ga.
Poet: :Noor Ali Noor:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2020-21:
Composition: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
#KarbalaKiSawariyaan
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com