Abid Ke Samne Syed Mohammad Shah Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Abid Ke Samne Syed Mohammad Shah Lyrics In Urdu and Roman Urdu

عابدؑ کے سامنے

Har Ik Qadam Pe Maqtal Bazar Ban Gaya Tha Abid Ke Samne.
Zahra Ki Betiyon Ko Logon Ne Itna Mara Abid Ke Samne.
Zahra Ki Lash Jaisay Haider Ke Samne Thi.
Chehray Pe Neel Tha Our Pehlu Tha Jaisay Zakhmi.
Zindan Mein Behan Ka Zakhmi Tha Aisay Lasha.
Har Bibi Sochti Thi Baloon Se Munh Chupaye.
Bazar Mein Hamara Ghamkhuwar Mar Na Jaye.
Har Bibi Par Tha Mushkil Bazar Se Guzarna.
Hans Hans Ke Qaidiyon Ko Bazar Mein Giraya.
Ahl-e-Haram Ko Aisay Logon Ne Hai Sataya.
Rassi Kissi Ne Khainchi Pathar Kissi Ne Mara.
Lena Hai Jis Ne Koi Badlah Ali Se Aaye.
Yeh Hai Ali Ki Beti Aa Kar Issay Sataye.
Zainab Ki Simt Fasiq Karne Laga Ishara.
Qasim Ke Sar Se Dulhan Ro Kar Yeh Keh Rahi Thi.
Rassi Mein Woh Bandhay Hain Jin Hathoon Mein Thi Mehndi.
Abid Taraptay They Jab Karti Thi Bain Kubra.
Be Haal Thi Sakina Kha Kar Tamachay Rukh Par.
Our Sans Ruk Raha Tha Aisay Rasan Se Ghut Kar.
Keh Jaisay Chal Raha Ho Zindah Koi Janaza.
Logon Se Bibiyon Ko Aisay Bacha Rahi Thi.
Har Ik Ke Aagay Aa Kar Pathar Woh Kha Rahi Thi.
Zindan Tak :ASAD: Thi Zakhmo Se Choor Fizza.
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khuwan: :Syed Mohammad Shah:
Noha Volume: :Syed Mohammad Shah 2021-22:
Composition: :Saleem Mehrabpuri:
#AbidKeSamne
#NohayLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!