Kon Roke Ga Ye Azadari Syed Mohammad Shah Lyrics Urdu 2024
Kon Roke Ga Ye Azadari Syed Mohammad Shah and Irfan Haider.
Rab Ka Wadah Hai Yeh Azadari.
Kaun Rokay Ga Yeh Azadari.
Chand Mah-e-Azza Ka Aaya Nazar.
Kalay Parcham Lagay Hain Har Ghar Par.
Jantay Hain Tamam Jin-o-Bashar.
Kam Iss Se Nahi Koi Behtar.
Nahi Kartay Hain Hum, Yeh Dunya Ka Gham.
Hain Aanso Rawaan, Utha Kar Alam.
Kam Pehla Hai Yeh Azadari.
Jab Sajatay Hain Hum Azakhana.
Oss Mein Rakhtay Hain Baliyaan Jhola.
Mehndi Rakhtay Hain Our Ik Kangna.
Kuch Alam Our Sath Mein Sehra.
Aye Ahl-e-Azza, Yaqeen Hai Mera.
Ghar Aaeingi Ab, Mere Syeda.
Izn-e-Zahra Hai Yeh Azadari.
Har Ghali Mein Sabeel Hai Jo Lagi.
Yeh Duaein Hain Mashk Wali Ki.
Tere Sadqay Mein Aye Meri BiBi.
Aaj Pyasa Nahi Hai Koi Bhi.
Alam Ki Qasam, Karam Hai Karam.
Yeh Daman Kabhi, Na Chorein Gay Hum.
Shama Se Shama Jalay Silsila Jari Rahe.
Hum Rahein Ya Na Rahein Yeh Azadari Rahe.
Farz Apna Hai Yeh Azadari.
(Irfan Haider).
Aath Aati Hai Jab Muharram Ki.
Maein Bachoon Ko Karti Hain Girvi.
Unn Ko Pehnati Hain Hari Kafni.
Bachay Kartay Hain Sare Saqayi.
Na Khof-o-Khatar, Na Dunya Ka Dar.
Nikaltey Hain Sab, Kafan Orh Kar.
Aisa Jazba Hai Yeh Azadari.
Aaj Wajib Hai Kal Bhi Wajib Tha.
Hai Yeh Matam Bhi Ik Namaz-e-Azza.
Aag Our Khon Se Hain Kartay Ada.
Munh Pe Kartay Hain Hath Se Pursa.
Chaley Khoon Mein Tar, Aye Sheh Ke Pisar.
Humein Yaad Hai Tumhara Safar.
Tham Kar Yeh Alam Barhtey Jaein Qadam.
Dil Mein Ho Sheh Ka Gham.
Apna Wirsa Hai Yeh Azadari.
Kijiye Nojawan Ka Matam.
Teer Ka Our Kaman Ka Matam.
Haye Sokhi Zaban Ka Matam.
Shah Ke Khandan Ka Matam.
Kahin Nojawaan, Kahin Be Zabaan.
Diya Shah Ne, Ajab Imtehaan.
Lash Uthana Hai Yeh Azadari.
Jalta Sehra Tha Aik Pyasa Tha.
Kund Khanjar Galay Pe Chalta Tha.
Khon Sokhi Ragoon Se Behta Tha.
Khak Par Ayeriyaan Ragarta Tha.
Woh Pyasa Raha, Na Pani Mila.
Woh Sokha Howa, Gala Kat Gaya.
Oss Pe Rona Hai Yeh Azadari.
:ARSALAN AZMI: Khuda Ki Qasam.
Mujh Pe Hai BiBi Syeda Ka Karam.
Chalta Rehta Hai Jo Yeh Mera Qalam.
Nohay Karta Rahon Ga Younhi Raqam.
Mera Farz Hai, Bara Qarz Hai.
Karam Ho Younhi, Yehi Arz Hai.
Mera Likhna Hai Yeh Azadari.
Poet: :Arsalan Azmi:
Noha Khuwan: :Syed Mohammad Shah:
Noha Khuwan: :Irfan Haider:
Noha Volum: :Syed Mohammad Shah 2024-25:
Composition: :Syed Mohammad Shah:
#KonRokeGaYeAzadari
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha 2024 Kon Roke Ga Ye Azadari Syed Mohammad Shah