Mazar e Fatima Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2021
Mazar e Fatima Nadeem Sarwar Lyrics
Dekho Mazar-e-Fatima Kitna Udas Hai.
Bas Ik Nishan-e-Sang Hi Turbat Ke Pas Hai.
Mehroom Chomney Se Bhi Har Haq Shanas Hai.
Bolay Zamane De Ga Bhala Kya Jawab Tu.
Mehshar Mein Mustafa Ke Jab Aaye Ga Robaro.
ALLAH Re Yeh Fatima Zahra Ki Bekasi.
Ik Shama Bhi Jalanay Ko Aata Nahi Koi.
Tanha Hai Aik Goshay Mein Beti Rasool Ki.
Charon Taraf Madine Mein Phaili Hai Roshni.
Totay Hoye Mazar Se Lipati Hai Bekasi.
Bolay Zamane Ka Tere Daman Mein Kuch Na Tha.
Zahra Ne Har Namaz Mein Di Hai Tujhe Dua.
Tu Aik Tooti Qabar Hi Zahra Ko De Saka.
Jab Dekhtey Hain Ujari Hoi Qabar-e-Syeda.
Lagta Hai Jaisay Dhop Mein Bethi Hain Fatima.
Zahra Wohi Keh Jis Ke Pisar Hain Hasan Hussain.
Zahra Wohi Keh Jis Ke Hain Shohar Sheh-e-Hunain.
Zahra Wohi Keh Jo Dil-e-Paygambari Ka Chain.
Aisa Luta Yeh Chain Keh Ghar Bar Lut Gaya.
Ik Dil Tha Fatima Ka Jo So Bar Kat Gaya.
Pehlu Mein Aap Ke Hain Hasan Zainn Al-Abideen.
Baqir Bhi Our Jafar-e-Sadiq Bhi Hain Yahin.
Haye Kissi Ki Qabar Salamat Bhi Ab Nahi.
Mehshar Mein Apna Dard Sunaein Gi Fatima.
Ummat Ne Jo Kiya Hai Bataein Gi Fatima.
Ghurbat Rasool Zadi Ki Parhti Hai Marsiya.
Hasrat Se Takta Rehta Hai Roza Rasool Ka.
Aankhon Mein Ashk Cheekhtay Hain Wa Muhammada.
Farsh-e-Azza Bichanay Ko Aa Jaiye Imam.
Zahra Ka Gham Mananay Ko Aa Jaiye Imam.
Bibi Tumharey Lal Ke Ghamkhuwar Aaye Hain.
Jane Kahan Kahan Se Azadar Aaye Hain.
Noha Sunanay Aap Ke Zawwar Aaye Hain.
Yeh Aarzu Thi Aankhon Se Mati Lagaein Gay.
Socha Na Tha Keh Fateha Parhne Na Paein Gay.
Zawwar Chup Hain Sara Baqiya Udas Hai.
Karb-o-Bala Khamosh Madina Udas Hai.
Har Ik Nabi Ka Chahney Wala Udas Hai.
Bibi Ko Qabar Mein Bhi Sakoon Hai Na Chain Hai.
Hai Pasliyon Pe Hath Zabaan Par Hussain Hai.
Poet: :Raza Sirsivi:
Poet: :Allama Dr Majid Raza Abidi:
Poet: :Azadar Shabir:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2021-22:
Composition: :Nadeem Sarwar,Ali Shanawar, Ali Jee:
#MazareFatima
#NohayLyrics
#tajpoint