Mujhe Bohat Mara Master Syed Mohammad Shah Lyrics In Urdu and Roman Urdu
مُجھے بہت مارا
Sakina Kehti Thi Baba Mujhe Bohat Mara.
Jahan Bhi Jis Ne Bhi Chaha Mujhe Bohat Mara.
Madine Walay Muhammad Ki Main Nawasi Hoon.
Bataya Jis Ghari Main Fatima Ki Poti Hoon.
Jo Naam Dadi Ka Aaya Mujhe Bohat Mara.
Yeh Dard Ho Ga Faramosh Na Kabhi Mujh Se.
They Oss Ke Hath Tumhare Lahu Mein Dobay Hoye.
Keh Jin Se Shimar Ne Baba Mujhe Bohat Mara.
Woh Khon Rota Tha Halat Ko Dekh Kar Meri.
Tamachay Lagtay Gaye Main Zaeef Hoti Gayi.
Gawah Hai Mera Bhaiyya Mujhe Bohat Mara.
Youn Apne Bachoon Ko Bazar Mein Hansatay Rahe.
Khushi Ke Wastay Unn Ki Mujhe Rolatay Rahe.
Main Chup Hoi Tu Dobarah Mujhe Bohat Mara.
Laeen Ne Dala Tha Zulfoon Mein Jaisay Hath Tere.
Tumhare Lashay Se Zindan-e-Sham Tak Aisay.
Pakar Ke Baloon Se Baba Mujhe Bohat Mara.
Bichar Gayi Thi Safar Mein Main Aount Se Gir Kar.
Talash Khatam Hoi Jab Laeen Ki Mujh Par.
Uthaya Shimar Ne Durrah Mujhe Bohat Mara.
Lehad Mein Aaein Gi Dadi Tu Unn Se Bolon Gi.
Main Chaar Barson Mein Lagti Hoon Aap Ke Jaisi.
Hoon Main Bhi Pehlu Shikasta Mujhe Bohat Mara.
Lehad Behan Ki Jo :MUHSIN: Banai Abid Ne.
Yeh Haal Tha Abhi Mar Jaye Ga Woh Ro Ro Ke.
Lehad Se Uthta Tha Noha Mujhe Bohat Mara.
Poet: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Syed Mohammed Shah:
Noha Volume: :Syed Mohammed Shah 2021-22:
Composition: :Syed Mohammed Shah:
#MujheBohatMara
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com