Zahra Ko Hai Bohat Mara Syed Mohammad Shah Lyrics Urdu 2022
Zahra Ko Hai Bohat Mara Syed Mohammad Shah.
Likhney Walay Ne Khat Mein Yeh Likha.
Hum Ne Zahra Ko Hai Bohat Mara.
Le Liya Youn Ghadeer Ka Badla.
Hum Ne Zahra Ko Hai Bohat Mara.
Jab Woh Haq Mangney Ko Aayi Thi.
Sath Betay Gawah Layi Thi.
Hum Ne Inkar Kar Diya Sab Ka.
Baith Jaye Tu Uth Nahi Sakti.
Bint-e-Sarwar Hai Iss Qadar Zakhmi.
Kar Nahi Pati Fatima Sajdah.
Robaro Jab Padar Ke Jaye Gi.
Apna Chehra Dikha Na Paye Gi.
Oss Ka Chehra Hai Iss Qadar Neela.
Jaltay Dar Ko Gira Diya Oss Par.
Our Dar Se Guzar Gaya Lashkar.
Oss Ka Pamal Ho Gaya Beta.
Chomtay They Jisay Rasool-e-Anaam.
Jis Se Karti Thi Woh Ali Ko Salam.
Hath Pehlu Se Woh Nahi Uthta.
Khon Ke They Wahan Zameen Pe Nishaan.
Gir Gayi Thi Jahan Hussain Ki Maa.
Khoon Itna Tha Pasliyon Se Baha.
Koi Thokar Se Marta Tha Ossay.
Koi Hansta Tha Mar Kar Durray.
Youn Pidar Ka Ossay Diya Pursa.
Apne Mohsin Ko Yaad Karti Hai.
Hath Zainab Ka Thamay Chalti Hai.
Oss Ko Ab Kuch Nazar Nahi Aata.
Poet: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Syed Mohammad Shah:
Noha Volume: :Syed Mohammad Shah 2021-22:
Composition: :Muhsin Jaffri:
#AyameFatmiyah
#ZahraKoHaiBohatMara
#NohayLyrics
#tajpoint