BANI ASAD Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

BANI ASAD Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

بنی اسد

Aye Roney Walo Suno Kaisi Pur Dard Yeh Riwayat Hai.
Do Muharram Ko Sar-e-Karb-o-Bala Karwan-e-Sheh-e-Mazloom Ruka.
Ik Qabeela Bani Asad Nami Unn Se Maula Ne Youn Khitab Kiya.
Main Ne Yeh Karbala Kharedi Hai Kal Yahan Par Lutay Ga Ghar Mera.
Be Kafan Lashay Sab Paray Hoon Gay Qabar Koi Nahi Banaye Ga.
Aye Bani Asad Walo.
Jab Koi Na Aaye Tum Zaror Aana.
Inn Musafiron Ki Qabar Tum Banana.
Baad Mardoon Ke Kaha Aurton Se Maula Ne.
Itefaqan Jo Tumhara Guzar Ho Maqtal Se.
Jab Mere Aqarba Ke Lashay Tumhein Aaein Nazar.
Oss Ghari Meri Wasiyat Ko Yaad Kartay Hoye.
Be Kafan Hoon Lashay Tum Rida Urhana.
Inn Musafiron Ki Qabar Tum Banana.
Phir Sheh-e-Karb-o-Bala Ne Kaha Yeh Bachoon Se.
Iltija Yeh Hai Keh Ashor Jab Guzar Jaye.
Khailtey Waqt Bahane Se Tum Idhar Aana.
Apne Hathoon Mein Biyabaan Ki Khak Uthaye Hoye.
Sari Maiyyaton Ko Khak Mein Chupana.
Inn Musafiron Ki Qabar Tum Banana.
Al-Qissa Keh Ashor Ka Soraj Nikal Aaya.
Aray Be Yaro Madadgar Tha Zahra Ka Gharana.
Ansar Hoon Bhai Ho Pisar Ho Keh Bhatija.
Har Aik Ka Lasha Mere Maula Ne Uthaya.
Rotay They Haram Bekas-o-Mazloom Harasan.
Karbal Ki Zameen Ban Gayi Sab Kanjay Shaheedan.
Phir Gayarah Muharram Ko Haram Ban Gaye Qaidi.
Thin Betiyaan Zahra Ki Rida Sar Pa Nahi Thi.
Sajjad Ko Pehnai Gayi Hathkari Beri.
Panjon Pe Safar Karti Thi Shabeer Ki Pyari.
Maqtal Ka Bhi Ahwal Suno Momino Ro Kar.
Ab Terah Muharram Ka Biyaan Karta Hoon Manzar.
Bas Yeh Sun Kar Asadi Peer-o-Jawaan Ghar Se Chaley.
Bailchey Apne Sanbhalay Hoye Maqtal Pohanchay.
They Pareshan Keh Ab Rah Dikhaye Ga Kaun.
Kaun Sa Lasha Hai Kis Ka Yeh Bataye Ga Kaun.
Yak Bayak Dasht-e-Biyabaan Mein Utha Gird-o-Ghubar.
Sab Ne Dekha Keh Koi Aata Hai Ghorey Pe Sawar.
Go Keh Oss Waqt Safar Mein They Mail-e-Faryad.
Aaye Ijaz-e-Imamat Se Dasht Mein Sajjad.
Ro Keh Phir Kehne Lagay Dard Ka Sataya Hoon.
Apne Pyaron Ko Yahan Dafan Karne Aaya Hoon.
Wadah Jo Kiya Tha Wadah Woh Nibhao.
Main Batata Jaon Qabar Tum Banao.
Phir Mere Maula Ne Ro Kar Bani Asad Se Kaha.
Qabar Tum Khodney Ki Zehmatein Nahi Karna.
Jaisay Main Aaya Hoon Kal Aaye They Mere Nana.
Qabrein Mazlomo Ki Sab Khodi Ja Chukin Wallah.
Dekho Maiyyaton Ko Sath Mere Aao.
Tham Ke Qalb-o-Jigar Janib-e-Nashaib Chaley.
Baap Ki Lash-e-Buredah Pe Boka Karne Lagay.
Lash-e-Pamal Ke Aaza Tu Sabhi Bikhrey They.
Maula Sajjad Ne Logon Se Kaha Rotay Hoye.
Main Sameto Aaza Tum Chatai Lao.
Sar Kahan Bazu Kahan Our Kahan Hai Seena.
Bain Kartay Hoye Phir Lash Ko Tarteeb Diya.
Jis Ghari Seena-e-Shabeer Pe Sar Apna Rakha.
Aayi Be Sakhta Sajjad Ke Honton Pe Boka.
Baba Baba Wa Musibata Wa Bata.
Baap Ke Seene Pe Be Sheer Ka Bhi Lasha Hai.
Phir Mera Maula Yeh Unn Logon Ko Samjhata Hai.
Do Qadam Pichey Hato Waqt Qareen Aata Hai.
Kyun Keh Masoomo Ko Masoom Hi Dafnata Hai.
Meri Bekasi Pe Ashk Tum Bahao.
Main Batata Jaon Qabar Tum Bachao.
Al-Garz Maula Mera Ganjay Shaheedan Pohancha.
Qasim-o-Aoun-o-Muhammad Ko Wahin Dafan Kiya.
Kar Ke Phir Jaun-o-Habib Ibn-e-Mazahir Pe Boka.
Dafan Akbar Ko Kiya Kartay Hoye Wawela.
Aik Ik Lasha Mera Maula Utha Kar Laya.
Qabar Jis Ki Thi Jahan Oss Ko Wahin Dafnaya.
Ab Lab-e-Nehar Gaye Lasha Chacha Ka Paya.
Lash Ke Tukray Jama Kar Ke Yehi Farmaya.
Aap Ke Baad Chacha Aisi Tabahi Aayi.
Qatal Baba Hoye Akbar Ne Sina Bhi Khayi.
Chadrein Chin Gayin Jab Sham-e-Ghareebaan Aayi.
Our Phir Sham Ke Balway Mein Thi Zahra Jayi.
Khatam Hai :MAZHAR:-o-:MEESUM: Ka Yahin Par Noha.
Keh Chukay Lash-e-Alamdar Se Jab Haal Apna.
Asadi Logon Ke Humrah Uthaya Lasha.
Haye Abbas-e-Alamdar Ko Phir Dafnaya.
Aaj Bhi Roza-e-Shabeer Pe Woh Aate Hain.
Asadi Loag Ossi Rasam Ko Duhratay Hain.
Poet: :Mazhar Abidi:
Noha Khuwaan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2021-22:
#BANIASAD
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!