Mere Akbar Ko Kahin Dekha Hai Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Mere Akbar Ko Kahin Dekha Hai Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

میرے اکبرؑ کو کہیں دیکھا ہے

Tere Jaisa Hi Oss Ka Seena Hai Mere Akbar Ko Kahin Dekha Hai.
Kaisay Tujh Ko Lagi Hai Yeh Barchi Kya Khabar Yeh Tere Pidar Ko Mili.
Main Tu Be Maut Mar Gaya Hota Mere Akbar Ko Jo Lagi Hoti.
Jane Kyun Dil Mera Tarapta Hai Mere Akbar Ko Kahin Dekha Hai.
Mujh Ko Maloom Hai Woh Zakhmi Hai Foaj Yeh Oss Ke Khoon Ki Pyasi Hai.
Tere Seene Pe Jo Lahu Hai Laga Iss Lahu Mein Tu Khushbo Oss Ki Hai.
Woh Yaqeenan Yahan Se Guzra Hai Mere Akbar Ko Kahin Dekha Hai.
Tu Nahi Oss Ko Janta Hai Agar Mujh Ko Pora Yaqeen Hai Oss Par.
Oss Ko Jo Dekhey Bholta Hi Nahi Iss Qadar Woh Haseen Hai Mera Pisar.
Chodwin Chand Jaisa Chehra Hai Mere Akbar Ko Kahin Dekha Hai.
Main Ne Oss Ko Kaha Tha Aye Beta Mujh Ko Mur Mur Ke Dekhtey Jana.
Haan Magar Iss Tarha Gaya Hai Woh Phir Palat Kar Kabhi Nahi Aaya.
Main Ne Har Simt Oss Ko Dhonda Hai Mere Akbar Ko Kahin Dekha Hai.
Haye Jab Woh Zeen Se Zameen Pe Aaya Hai Aakhri Bar Oss Ko Dekha Hai.
Haye Binayi Ja Chuki Meri Ab Mera Din Mein Haal Aisa Hai.
Mere Charon Taraf Andhera Hai Mere Akbar Ko Kahin Dekha Hai.
Main Jo Aawaz Doon Woh Aaye Ga Aa Ke Mujh Ko Galay Lagaye Ga.
Par Main Aawaz Youn Nahi Deta Apne Zakhmo Ko Woh Chupaye Ga.
Hai Bahadur Ali Ka Pota Hai Mere Akbar Ko Kahin Dekha Hai.
Our Yeh Soch Kar Bhi Main Chup Hoon Woh Na Dekhey Jo Larkhara Ke Giron.
Apni Qowat Ko Kar Raha Hoon Jama Chal Ke Pairon Pe Main Wahan Pohancho.
Main Jo Tarpon Tu Woh Tarapta Hai Mere Akbar Ko Kahin Dekha Hai.
Oss Ne Tujh Ko Yahan Nahi Dekha Chor Kar Warna Woh Nahi Jata.
Tere Zakhmo Pe Rakhta Woh Marham Tujh Ko Pani Mera Pisar Deta.
Haye Lekin Woh Khud Bhi Pyasa Hai Mere Akbar Ko Kahin Dekha Hai.
Bola :SALMAN AZMI: Woh Jawaan Main Hi Akbar Hoon Mere Baba Jaan.
Na Hi Gehra Hai Itna Zakhm-e-Jigar Na Hi Sadma Koi Hai Zakhm-e-Sina.
Jitna Sadma Tumhara Gehra Hai Mere Akbar Ko Kahin Dekha Hai.
Poet: :Salman Azmi:
Azafi Ashar: :Azlan Azmi – Arsalan Azmi:
Noha Khuwan: :Meesum Abbas:
Noha Volume: :Meesum Abbas 2022-23:
Composition: :Raza Shah:
#MereAkbarKoKahin
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!