Itni Bhar Jaye In Aankhon Mein Ziya-e-Abbas Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2008
Itni Bhar Jaye In Aankhon Mein Ziya-e-Abbas Mir Hasan Mir.
Mujh Ko Koi Na Nazar Aaye Siwaye Abbas.
Mere Alfaz Mein Kyun Ho Na Rawani Ka Kamal.
Main Ne Daryaon Se Seekhi Hai Sana-e-Abbas.
Karbala Aik Hi Misray Mein Suna Sakta Hoon.
Azm-e-Zainab Dil-e-Shabeer Wafa-e-Abbas.
Mere Ashar Bhala Khuld Mein Maqbool Na Hoon.
Itni Kamzoor Nahi Hoti Sana-e-Abbas.
Main Ne Iss Husan-e-Shabahat Pe Bohat Ghoor Kiya.
Sochta Hoon Keh Ali Likh Doon Bajaye Abbas.
Aakhri Sans Jo Toba Ke Liye Hoti Hai.
Main Ne Woh Sans Bhi Rakh Li Hai Bara-e-Abbas.
Youn Karo Nam-e-Sakina Zara Le Kar Dekho.
Ghair Mumkin Hai Bulanay Pe Na Aaye Abbas.
Zaat Ko Chor Ke Rakh Marzi-e-Maula Pe Nazar.
Haan :MUSSADIQ: Yehi Hoti Hai Wilaye Abbas.
Poet: :Mussadiq Lakhani:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2007-08:
#ZiyaeAbbas
#ManqabatLyrics
#tajpoint