Zamana Jaan Le Haider Ki Zulfiqar Hoon Main 2007
Zamana Jaan Le Haider Ki Zulfiqar Hoon Main – Mir Hasan Mir.
Jo Aik Bar Bana Hai Woh Shahkar Hoon Main.
Zamana Jan Le Haider Ki Zulfiqar Hoon Main.
Main Aaj Apna Taruf Tumhein Karati Hoon.
Hijab Apni Hi Khilqat Se Main Uthati Hoon.
Hasab Nasab Hai Mera Kya Abhi Batati Hoon.
Main Misal-e-Meesum-o-Salmaan Ali Ki Sathi Hoon.
Khuda Ne Noor Ki Aatish Mein Mujh Ko Dhala Hai.
Falak Pe Kitne Baras Kibriya Ne Pala Hai.
Ohad Ke Ran Mein Meri Rasam-e-Ronomai Hoi.
Zameen Pe Pehle Hi Din Kufar Se Larai Hoi.
Ali Ki Qowat-e-Bazu Se Aashnai Hoi.
Shikast Roney Lagi Aisi Jag Hansai Hoi.
Khuda Ne Gaib Se Lashkar Kushai Di Hai Mujhe.
Rasool-e-Pak Ne Khud Munh Dikhai Di Hai Mujhe.
Har Ik Jarri Mere Johar Ka Madah Khuwan Raha.
Meri Amma Se Jo Nikla Woh Be Aman Raha.
Bashar Raha Na Koi Jism Par Nishan Raha.
Hamesha Jang Mein Mujh Ko Yeh Itmenan Raha.
Abu Turab Ne Mujh Par Yeh Aytbar Kiya.
Palat Ke Lash Na Dekhi Jo Main Ne Waar Kiya.
Munafiqon Ko Naye Mojzay Dikhati Hoon.
Ali Ali Ka Jahan Ko Sabaq Sikhati Hoon.
Qaza Ko Apne Isharon Pe Main Nachati Hoon.
Saron Ko Sar Se Hawaon Mein Main Urati Hoon.
Ali Ke Hath Pe Sajdah Meri Ibadat Hai.
Khuda Ke Hath Mein Rehne Ki Mujh Ko Adat Hai.
Fidak Ke Roz Yeh Main Ne Kaha Tha Maula Se.
Mere Imam Waga Ki Mujhe Raza De De.
Hoye Hain Loag Jo Mujrim Janab-e-Zahra Ke.
Har Aik Ashk Ki Qeemat Abhi Chokaein Gay.
Kissi Ko Mujh Se Muyassar Rahe Farrar Nahi.
Jigar Na Kaat Ke Rakh Doon Tu Zulfiqar Nahi.
Main Kitni Sadiyon Se :AKBAR: Ossi Deyar Mein Hoon.
Ali Ke Shair Ke Humrah Main Kachar Mein Hoon.
Main Meer-e-Ghaibat-e-Kubra Ke Ikhteyar Mein Hoon.
Main Apne Izn-e-Takallum Ke Intezar Mein Hoon.
Kissi Zabaan Se Jahan Al-Ajal Nikalta Hai.
Niyam-e-Sabar Mein Mera Badan Machalta Hai.
Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2007-08:
#HaiderKiZulfiqar
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Mir Hasan Mir Zamana Jaan Le Haider Ki Zulfiqar Hoon Main