Shabbir Agar Teri Azadari Na Hoti Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 1997
Shabbir Agar Teri Azadari Na Hoti Nadeem Sarwar.
Na Dil Rota Na Gham Hota Na Aisa Kahin Matam Hota.
Shabeer Agar Teri Azadari Na Hoti.
Mazloom Ki Dunya Mein Tarafdari Na Hoti.
Shabeer Ka Maqsad Jo Samajh Leta Zamana.
Quraan Ko Samajhne Mein Yeh Dushwari Na Hoti.
Kya Faida Aankhon Ka Reh Jata Zara Socho.
Inn Aankhon Mein Maula Ki Jo Ghamkhuwari Na Hoti.
Shabeer Ke Rozay Pe Kuch Roz Jo Rehtey.
Tum Ko Kabhi Jannat Ki Talabgari Na Hoti.
Do Roz Bhi Jannat Mein Rehna Humein Mushkil Tha.
Zahra Tere Bachoon Ki Jo Sardari Na Hoti.
Ghazi Tere Jaisa Jo Alamdar Na Hota.
Dunya Mein Alam Hotey Alamdari Na Hoti.
Sharminda Sakina Se Agar Hota Na Pani.
Yeh Rasam Sabeelon Ki Kabhi Jari Na Hoti.
Namoos-e-Muhammad Ko Jo Pehchanti Dunya.
Zainab Ke Khulay Sar Pe Yeh Sang Bari Na Hoti.
Jannat Mein Qadam Rakhtay Nahi :SARWAR-o-REHAN:.
Jannat Mein Jo Maula Ki Azadari Na Hoti.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1996-97:
#ShabbirAgarTeriAzadariNaHoti
#NohayLyrics
#tajpoint