Maa Zahra Shahid Baltistani Lyrics In Urdu 2022
Maa Zahra Shahid Baltistani Lyrics
Hasan Hussain Ki Zakhmi Ghareeb Maa Zahra.
Tamachay Khati Hai Beton Ke Darmiyaan Zahra.
Kamar Ke Sath Shikasta Hoye Hain Bazu Bhi.
Tumhari Tooti Nahi Sirf Pasliyaan Zahra.
Jo Sans Leti Hai Pehlu Mein Dard Bharta Hai.
Keh Ab Tu Le Bhi Nahi Sakti Hichkiyaan Zahra.
Tamacha Mara Hai Zalim Ne Iss Tarha Tum Ko.
Zameen Pe Toot Ke Bikhari Hain Baliyaan Zahra.
Hasan Hi Jane Keh Masjid Se Ghar Tak Aate Hoye.
Tamachay Kha Ke Giri Hai Kahan Kahan Zahra.
Chupaye Kaisay Ali Ki Nigah Se Fizza.
Tere Lahu Se Bhira Hai Tera Makaan Zahra.
Kuch Our Hai Dushwari Sans Lainay Mein.
Kahin Jo Sunti Hai Bachoon Ki Siskiyaan Zahra.
Ali Se Poch Rahe Hain Hussain Rotay Hoye.
Kya Taziyane Ke Qabil Hai Meri Maa Zahra.
Koi Salam Ka Deta Nahi Jawab Ossay.
Hai Tanha Fatah-e-Khaybar Ki Qadar Daan Zahra.
Bacha Ke Layi Hai Khanjar Talay Se Apna Imam.
Bari Ameer Thi Zainab Tumhari Maa Zahra.
Hussain Tarpay :TAKALLUM: Na Kyun Tah-e-Khanjar.
Tumhare Hath Pe Durron Ke They Nishaan Zahra.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Shahid Baltistani:
Noha Volume: :Shahid Baltistani 2021-22:
Composition: :Shahid Baltistani:
#AyameFatmiyah
#MaaZahra
#NohayLyrics
#tajpoint