Nannay Hathon Se Mukhtar Hussain Fatehpuri Lyrics In Urdu 2022
Nannay Hathon Se Mukhtar Hussain Fatehpuri.
Ghar Mein Jab Aag Lagi Jalnay Laga Darwaza.
Our Woh Jalta Howa Dar Fatima Zahra Pe Gira.
Maa Pe Girta Howa Dar Dekh Ke Bachoon Ne Kaha.
Nannay Hathoon Se Yeh Darwaza Uthaein Kaisay.
Inn Bharaktay Hoye Sholon Ko Bhojaein Kaisay.
Dekho Aye Nana Hai Baba Ke Galay Mein Rassi.
Sehan Mein Be Adabana Chaley Aate Hain Shaqi.
Zulm Se Unn Ke Hum Amma Ko Bachaein Kaisay.
Aap Uth Jate They Amma Ke Adab Mein Nana.
Unn Ko Masnad Pe Bithatay Tu Bichatay They Abba.
Inn Musalmano Ko Sab Yaad Dilaein Kaisay.
Charon Bachoon Ne Woh Darwaza Uthana Chaha.
Hath Jaltay Rahe Oss Par Bhi Yehi Dehyan Raha.
Zakhmi Madar Ko Aziyat Se Choraein Kaisay.
Durrah Bazu Pe Laga Hai Tu Lahu Behta Hai.
Hath Pehlu Pe Hai Rukhsar Bhi Tu Neela Hai.
Khak Ke Farsh Se Bistar Pe Litaein Kaisay.
Phir Kissi Ghar Ko Yeh Manzar Na Jahan Dikhlaye.
Bachoon Ke Samne Madar Pe Musibat Aaye.
Bachay Kehte They Keh Nana Ko Bulaein Kaisay.
Roti Hain Zainab-o-Kulsoom Hai Ik Hashar Bapa.
Baap Rassi Mein Bandha Maa Pe Hai Darwaza Gira.
Rasan-e-Zulm Se Baba Ko Choraein Kaisay.
Jab Keh Darwaza Gira Aayi Yeh Zahra Ki Sada.
Ho Gaya Hai Mera Mohsin Bhi Shaheed Aye Fizza.
Bolay Hasnain Keh Bhai Ko Bachaein Kaisay.
Kam Hai Yeh Noha Jo Khama Ne Abhi Likha Hai.
Haan Magar Zahra Ke Atfal Pe Jo Guzra Hai.
Karb Woh :MAJID:-o-:MUKHTAR: Sunaein Kaisay.
Poet: :Allama Dr Majid Raza Abidi:
Noha Khuwan: :Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Noha Volume: :Mukhtar Hussain Fatehpuri 2021-22:
Composition: :Waheed-ul-Hasan Kamaliya:
#AyameFatmiyah
#NannayHathonSe
#NohayLyrics
#tajpoint